ghazalKuch Alfaaz

mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya tum kyuun udaas ho gae kya yaad aa gaya kahne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar kuchh yuun basar hui ki khuda yaad aa gaya vaaiz salam le ki chala mai-kade ko main firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya barse baghhair hi jo ghata ghir ke khul gai ik bevafa ka ahd-e-vafa yaad aa gaya mangenge ab dua ki use bhuul jaaen ham lekin jo vo ba-vaqt-e-dua yaad aa gaya hairat hai tum ko dekh ke masjid men ai 'khumar' kya baat ho gai jo khuda yaad aa gaya mujh ko shikast-e-dil ka maza yaad aa gaya tum kyun udas ho gae kya yaad aa gaya kahne ko zindagi thi bahut mukhtasar magar kuchh yun basar hui ki khuda yaad aa gaya waiz salam le ki chala mai-kade ko main firdaus-e-gum-shuda ka pata yaad aa gaya barse baghair hi jo ghata ghir ke khul gai ek bewafa ka ahd-e-wafa yaad aa gaya mangenge ab dua ki use bhul jaen hum lekin jo wo ba-waqt-e-dua yaad aa gaya hairat hai tum ko dekh ke masjid mein ai 'khumar' kya baat ho gai jo khuda yaad aa gaya

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Khumar Barabankavi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Khumar Barabankavi's ghazal.