mujh se chunan-chunin na karo main nashe main huun main jo kahun nahin na karo main nashe men huun insan nashe men ho to vo chhupta nahin kabhi har-chand tum yaqin na karo main nashe men huun ye vaqt hai farakh-dili ke suluk ka tang apni astin na karo main nashe men huun be-ikhtiyar chuum na luun main kahin inhen ankhon ko khashmagin na karo main nashe men huun har-chand mere haq men hai ye rahmat-e-khuda anchal mire qarin na karo main nashe men huun nashshe men surkh rang tahi-az-khatar nahi.? honton ko ahmarin na karo main nashe men huun dekho main kah raha huun tumhen pai-ba-pai 'adam' mujh ko bahut hazin na karo main nashe men huun mujh se chunan-chunin na karo main nashe main hun main jo kahun nahin na karo main nashe mein hun insan nashe mein ho to wo chhupta nahin kabhi har-chand tum yaqin na karo main nashe mein hun ye waqt hai farakh-dili ke suluk ka tang apni aastin na karo main nashe mein hun be-ikhtiyar chum na lun main kahin inhen aankhon ko khashmagin na karo main nashe mein hun har-chand mere haq mein hai ye rahmat-e-khuda aanchal mere qarin na karo main nashe mein hun nashshe mein surkh rang tahi-az-khatar nahi? honton ko ahmarin na karo main nashe mein hun dekho main kah raha hun tumhein pai-ba-pai 'adam' mujh ko bahut hazin na karo main nashe mein hun
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
More from Abdul Hamid Adam
jab tire nain muskuraate hain zeest ke ranj bhool jaate hain kyun shikan daalte ho maathe par bhool kar aa ga.e hain jaate hain kashtiyaañ yuñ bhi doob jaati hain nakhuda kis li.e daraate hain ik haseen aankh ke ishaare par qafile raah bhool jaate hain
Abdul Hamid Adam
5 likes
hañs hañs ke jaam jaam ko chhalaka ke pee gaya vo KHud pila rahe the main lahara ke pee gaya tauba ke tootne ka bhi kuchh kuchh malaal tha tham tham ke soch soch ke sharma ke pee gaya saaghar-b-dast baithi rahi meri aarzoo saaqi shafaq se jaam ko takra ke pee gaya vo dushmanon ke tanj ko thukra ke pee ga.e main doston ke ghaiz ko bharka ke pee gaya sadhaa mutaalibaat ke baa'd ek jaam-e-talkh duniya-e-jabr-o-sabr ko dhadka ke pee gaya sau baar lagzishon ki qasam kha ke chhod dii sau baar chhodne ki qasam kha ke pee gaya peeta kahaan tha subh-e-azl main bhala adam saaqi ke e'tibaar pe lahara ke pee gaya
Abdul Hamid Adam
6 likes
hañs ke bola karo bulaayaa karo aap ka ghar hai aaya jaaya karo muskuraahat hai husn ka zevar muskurana na bhool jaaya karo had se badh kar haseen lagte ho jhooti qasmen zaroor khaaya karo taaki duniya ki dilkashi na ghate nit-naye pairhan men aaya karo kitne saada-mizaaj ho tum adamus gali men bahut na jaaya karo
Abdul Hamid Adam
16 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Abdul Hamid Adam.
Similar Moods
More moods that pair well with Abdul Hamid Adam's ghazal.







