ghazalKuch Alfaaz

mujhe malal bhi us ki taraf se hota hai magar ye haal bhi us ki taraf se hota hai main tutta bhi huun aur khud hi jud bhi jaata huun ki ye kamal bhi us ki taraf se hota hai pukarta bhi vahi hai mujhe safar ke liye safar muhal bhi us ki taraf se hota hai javab deta hai mere har ik saval ka vo magar saval bhi us ki taraf se hota hai vo mere haal se mujh ko hi be-khabar kar de ye ehtimal bhi us ki taraf se hota hai main us ke hijr men kyuun tuut kar nahin roya ye ik saval bhi us ki taraf se hota hai jab agahi mujhe gumrah karti hai 'mohsin' junun bahal bhi us ki taraf se hota hai mujhe malal bhi us ki taraf se hota hai magar ye haal bhi us ki taraf se hota hai main tutta bhi hun aur khud hi jud bhi jata hun ki ye kamal bhi us ki taraf se hota hai pukarta bhi wahi hai mujhe safar ke liye safar muhaal bhi us ki taraf se hota hai jawab deta hai mere har ek sawal ka wo magar sawal bhi us ki taraf se hota hai wo mere haal se mujh ko hi be-khabar kar de ye ehtimal bhi us ki taraf se hota hai main us ke hijr mein kyun tut kar nahin roya ye ek sawal bhi us ki taraf se hota hai jab aagahi mujhe gumrah karti hai 'mohsin' junun bahaal bhi us ki taraf se hota hai

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mohsin Asrar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mohsin Asrar's ghazal.