ghazalKuch Alfaaz

mujhe rona nahin awaaz bhi bhari nahin karne mohabbat ki kahaanii men adaakaari nahin karne hawa ke khauf se lipta hua hooñ khushk tahni se kahii jaana nahin jaane ki tayyaari nahin karne tahammul ai mohabbat hijr pathreela ilaqa hai tujhe is raaste par tez-raftaari nahin karne hamaara dil zaraa ukta gaya tha ghar men rah rah kar yoonhi bazaar aa.e hain khareedaari nahin karne ghazal ko kam-nigaahon ki pahunch se door rakhta hooñ mujhe banjar dimaagon men shjar-kaari nahin karne wasiyyat ki thii mujh ko qais ne sehra ke baare men ye meraa ghar hai is ki chaar-deewaari nahin karne

Afzal Khan0 Likes

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban

Varun Anand

81 likes

More from Afzal Khan

tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota

Afzal Khan

0 likes

aaj hi furqat se kal ka mas'ala chhedoonga main mas'ala hal ho to hal ka mas'ala chhedoonga main vasl o hijraan men tanaasub raast hona chahiye ishq ke radd-e-amal ka mas'ala chhedoonga main dekhna sab log mujh ko khaariji thehraaenge kal yahaañ jang-e-jamal ka mas'ala chhedoonga main kashtiyon waale mujhe tawaan de kar paar jaayen warna lehron men khalal ka mas'ala chhedoonga main mil hi jaayenge kahii to mujh ko bedil-haidri kooza-gar waali ghazal ka mas'ala chhedoonga main is shajar ki ek tahni parle aangan men bhi hai apne ham-saaye se phal ka mas'ala chhedoonga main

Afzal Khan

0 likes

tabhi to main mohabbat ka hawaalaati nahin hota yahaañ apne siva koi mulaqaati nahin hota girftaar-e-wafa rone ka koi ek mausam rakh jo naala roz bah nikle vo barsaati nahin hota bichhadne ka iraada hai to mujh se mashwara kar lo mohabbat men koi bhi faisla zaati nahin hota tumhein dil men jagah dii thii nazar se door kya karte jo markaz men thehar jaa.e mazaafaati nahin hota

Afzal Khan

0 likes

vo jo ik shaKHs vahaañ hai vo yahaañ kaise ho hijr par vasl ki haalat ka gumaan kaise ho be-numoo KHvaab men paivast jaden hain meri ek gamle men koi nakhl jawaan kaise ho tum to alfaaz ke nashtar se bhi mar jaate the ab jo haalaat hain ai ahl-e-zabaan kaise ho aankh ke pahle kinaare pe khada aakhiri ashk ranj ke rahm-o-karam par hai ravaan kaise ho bhaav-taav men kamii beshee nahin ho sakti haan magar tujh se khareedaar ko naan kaise ho milte rahte hain mujhe aaj bhi ghalib ke khutoot vahii andaaz-e-takhaatub ki miyaan kaise ho

Afzal Khan

0 likes

nahin tha dhyaan koi todate hue cigarette main tujh ko bhool gaya chhodate hue cigarette so yuñ hua ki pareshaaniyon men peene lage gham-e-hayaat se munh modte hue cigarette mushaabah kitne hain ham sokhta-jabeenon se kisi sutoon se sar fodte hue cigarette kal ik malang ko kude ke dher par la kar nashe ne tod diya jodte hue cigarette hamaare saans bhi le kar na bach sake afzal ye khaak-daan men dam todate hue cigarette

Afzal Khan

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Afzal Khan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Afzal Khan's ghazal.