ghazalKuch Alfaaz

mujh se mukhlis tha na waqif mire jazbaat se thaus ka rishta to faqat apne mafaadaat se tha ab jo bichhda hai to kya royen judaai pe tiri yahii andesha ha men pahli mulaqaat se tha dil ke bujhne ka hawaon se gilaa kya karna ye diya naz'a ke aalam men to kal raat se tha markaz-e-shahr men rahne pe musir thii khilqat aur main waabasta tire dil ke mazaafat se tha main kharaabon ka makeen aur ta'alluq meraa tere naate kabhi KHvaabon ke mahallaat se tha lab-kushaai pe khula us ke sukhun se iflaas kitna aaraasta vo atlas-o-banaat se tha

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi

Umair Najmi

68 likes

khaali baithe ho to ik kaam meraa kar do naa mujh ko achha sa koii zaKHm ada kar do naa dhyaan se panchiyo ko dete ho daana paani itne achchhe ho to pinjare se rihaa kar do naa jab qareeb aa hi ga.e ho to udaasi kaisi jab diya de hi rahe ho to jala kar do naa

Zubair Ali Tabish

102 likes

More from Aitbar Sajid

chhote chhote kaii be-faiz mafaadaat ke saath log zinda hain ajab soorat-e-haalat ke saath faisla ye to bahr-haal tujhe karna hai zehan ke saath sulagna hai ki jazbaat ke saath guftugoo der se jaarii hai nateeje ke baghair ik nayi baat nikal aati hai har baat ke saath ab ke ye soch ke tum zakhm-e-judai dena dil bhi bujh jaayega dhalti hui is raat ke saath tum vahii ho ki jo pahle the mirii nazaron men kya izafa hua in atlas o baanaat ke saath itnaa paspa na ho deewaar se lag jaayega itne samjhaute na kar soorat-e-haalat ke saath bhejta rehta hai gum-naam khatoon men kuchh phool is qadar kis ko mohabbat hai mirii zaat ke saath

Aitbar Sajid

0 likes

ghar ki dahleez se bazaar men mat aa jaana tum kisi chashm-e-kharidaar men mat aa jaana KHaak udhaana inheen galiyon men bhala lagta hai chalte firte kisi darbaar men mat aa jaana yoonhi KHushboo ki tarah failte rahna har soo tum kisi daam-e-talabgaar men mat aa jaana door saahil pe khade rah ke tamasha karna kisi ummeed ke manjhdhaar men mat aa jaana achchhe lagte ho ki khud-sar nahin khuddaar ho tum haan simat ke but-e-pindaar men mat aa jaana chaand kahtaa hooñ to matlab na galat lena tum raat ko rauzan-e-deewar men mat aa jaana

Aitbar Sajid

1 likes

jo khayal the na qayaas the vahii log mujh se bichhad ga.e jo mohabbaton ki asaas the vahii log mujh se bichhad ga.e jinhen maanta hi nahin ye dil vahii log mire hain hum-safar mujhe har tarah se jo raas the vahii log mujh se bichhad ga.e mujhe lamha-bhar ki rafaqaton ke saraab aur sataaye'nge mirii umr-bhar ki jo pyaas the vahii log mujh se bichhad ga.e ye khayal saare hain aarzi ye gulaab saare hain kaaghazi gul-e-aarzoo ki jo baas the vahii log mujh se bichhad ga.e jinhen kar sakaa na qubool main vo shareek-e-raah-e-safar hue jo mirii talab mirii aas the vahii log mujh se bichhad ga.e mirii dhadkano ke qareeb the mirii chaah the mira KHvaab the vo jo roz-o-shab mire paas the vahii log mujh se bichhad ga.e

Aitbar Sajid

1 likes

tumhein jab kabhi milen fursatein mire dil se bojh utaar do main bahut dinon se udaas hooñ mujhe koi shaam udhaar do mujhe apne roop ki dhoop do ki chamak saken mire khaal-o-khud mujhe apne rang men rang do mire saare rang utaar do kisi aur ko mire haal se na garz hai koi na vaasta main bikhar gaya hooñ samet lo main bigad gaya hooñ sanwaar do

Aitbar Sajid

1 likes

mira hai kaun dushman meri chaahat kaun rakhta hai isee par sochte rahne ki furqat kaun rakhta hai makeenon ke taalluq hi se yaad aati hai har bastii wagarana sirf baam-o-dar se ulfat kaun rakhta hai nahin hai nirakh koi mere in ash'aar-e-tazaa ka ye mere KHvaab hain KHvaabon ki qeemat kaun rakhta hai dar-e-khema khula rakha hai gul kar ke diya ham ne so izn-e-aam hai lo shauq-rukhsat kaun rakhta hai mare dushman ka qad is bheed men mujh se to ooncha ho yahii men dhoondhta hooñ aisi qamat kaun rakhta hai hamaare shahar ki raunaq hai kuchh mashhoor logon se magar sab jaante hain kaisi shohrat kaun rakhta hai

Aitbar Sajid

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Aitbar Sajid.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Aitbar Sajid's ghazal.