musaafir ke raaste badalte rahe muqaddar men chalna tha chalte rahe mire raaston men ujaala raha diye us ki aankhoñ men jalte rahe koi phool sa haath kaandhe pe tha mire paanv sholoon pe jalte rahe suna hai unhen bhi hawa lag gaii hawaon ke jo rukh badalte rahe vo kya tha jise ham ne thukra diya magar umr bhar haath malte rahe mohabbat adavat vafaa be-rukhi kiraye ke ghar the badalte rahe lipt kar charaaghon se vo so ga.e jo phoolon pe karvat badalte rahe
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
More from Bashir Badr
falak se chaand sitaaron se jaam lena hai mujhe sehar se nayi ek shaam lena hai kise khabar ki farishte ghazal samjhte hain KHuda ke saamne kaafir ka naam lena hai mua'amla hai tira badtareen dushman se mire aziz mohabbat se kaam lena hai mehkati zulfon se KHushboo chamakti aankh se dhoop shabon se jaam-e-sehr ka salaam lena hai tumhaari chaal ki aahistagi ke lehje men sukhun se dil ko masalne ka kaam lena hai nahin main meer ke dar par kabhi nahin jaata mujhe KHuda se ghazal ka kalaam lena hai bade saleeqe se noton men us ko tulwa kar ameer-e-shahr se ab intiqaam lena hai
Bashir Badr
1 likes
udaas aankhoñ se aañsu nahin nikalte hain ye motiyon ki tarah seepiyon men palte hain ghane dhuen men farishte bhi aankh malte hain tamaam raat khujuroon ke ped julte hain main shaahraah nahin raaste ka patthar hooñ yahaañ sawaar bhi paidal utar ke chalte hain unhen kabhi na bataana main un ki aankhoñ men vo log phool samajh kar mujhe maslate hain kaii sitaaron ko main jaanta hooñ bachpan se kahii bhi jaaun mire saath saath chalte hain ye ek ped hai aa is se mil ke ro len ham yahaañ se tere mire raaste badalte hain
Bashir Badr
5 likes
jab raat ki tanhaaii dil ban ke dhadkati hai yaadon ke dareechon men chilman si sarkati hai loban men chingaari jaise koi rakh jaa.e yuñ yaad tiri shab bhar seene men sulagti hai yuñ pyaar nahin chhupta palkon ke jhukaane se aankhoñ ke lifaafon men tahreer chamakti hai khush-rang parindon ke laut aane ke din aa.e bichhde hue milte hain jab barf pighalti hai shohrat ki bulan dii bhi pal bhar ka tamasha hai jis daal pe baithe ho vo toot bhi sakti hai
Bashir Badr
10 likes
maan mausam ka kaha chhaai ghatta jaam utha aag se aag bujha phool khila jaam utha pee mire yaar tujhe apni qasam deta hooñ bhool ja shikwa gilaa haath mila jaam utha haath men chaand jahaan aaya muqaddar chamka sab badal jaayega qismat ka likha jaam utha ek pal bhi kabhi ho jaata hai sadiyon jaisa der kya karna yahaañ haath badha jaam utha pyaar hi pyaar hai sab log barabar hain yahaañ may-kade men koi chhota na badaa jaam utha
Bashir Badr
1 likes
khaandaani rishton men akshar raqabat hai bahut ghar se niklo to ye duniya khoobsurat hai bahut apne college men bahut maghroor jo mashhoor hai dil mira kahtaa hai us ladki men chaahat hai bahut un ke chehre chaand taaron ki tarah raushan rahe jin ghareebon ke yahaañ husn-e-qanaat hai bahut ham se ho sakti nahin duniya ki duniya-daariyaan ishq ki deewaar ke saa.e men raahat hai bahut dhoop ki chadar mire suraj se kehna bhej de gurbaton ka daur hai jaadon ki shiddat hai bahut in andheron men jahaan sahmi hui thii ye zameen raat se tanhaa lada jugnoo men himmat hai bahut
Bashir Badr
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Bashir Badr.
Similar Moods
More moods that pair well with Bashir Badr's ghazal.







