mushkil hai ki ab shahar men nikle koi ghar se dastaar pe baat aa gaii hoti hui sar se barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par ik umr mire khet the jis abr ko tarse kal raat jo eendhan ke li.e kat ke giraa hai chidiyon ko badaa pyaar tha us boodhe shajar se mehnat mirii aandhi se to mansoob nahin thii rahna tha koi rabt shajar ka bhi samar se KHud apne se milne ka to yaara na tha mujh men main bheed men gum ho gaii tanhaaii ke dar se be-naam masafat hi muqaddar hai to kya gham manzil ka ta'ayyun kabhi hota hai safar se pathraaya hai dil yoon ki koi ism padha jaa.e ye shahar nikalta nahin jaadu ke asar se nikle hain to raaste men kahii shaam bhi hogii suraj bhi magar aayega is raahguzaar se
Related Ghazal
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
More from Parveen Shakir
ab itni saadgi laayein kahaan se zameen ki KHair maange aasmaañ se agar chahein to vo deewaar kar den ha men ab kuchh nahin kehna zabaan se sitaara hi nahin jab saath deta to kashtii kaam le kya baadbaan se bhatkne se mile furqat to poochen pata manzil ka meer-e-kaarwaan se tavajjoh barq ki haasil rahi hai so hai azaad fikr-e-aashiyaan se hawa ko raaz-daan ham ne banaya aur ab naaraz KHushboo ke bayaañ se zaroori ho gaii hai dil ki zeenat makeen pahchaane jaate hain makaan se fana-fil-ishq hona chahte the magar furqat na thii kaar-e-jahaan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thii badi hikmat hai waabasta khizaan se kisi ne baat ki thii hañs ke shaayad zamaane bhar se hain ham KHud gumaan se main ik ik teer pe KHud dhaal banti agar hota vo dushman ki kamaan se jo sabza dekh kar khe men lagaayein unhen takleef kyun pahunchen khizaan se jo apne ped jalte chhod jaayen unhen kya haq ki roothein baagbaan se
Parveen Shakir
0 likes
ab bhala chhod ke ghar kya karte shaam ke vaqt safar kya karte teri masroofiyaten jaante hain apne aane ki khabar kya karte jab sitaare hi nahin mil paa.e le ke ham shams-o-qamar kya karte vo musaafir hi khulii dhoop ka tha saa.e faila ke shajar kya karte KHaak hi awwal o aaKHir thehri kar ke zarre ko guhar kya karte raay pahle se banaa li tu ne dil men ab ham tire ghar kya karte ishq ne saare saleeqe bakshe husn se kasb-e-hunar kya karte
Parveen Shakir
1 likes
bichhda hai jo ik baar to milte nahin dekha is zakham ko ham ne kabhi silte nahin dekha ik baar jise chaat gaii dhoop ki KHvaahish phir shaakh pe us phool ko khilte nahin dekha yak-lakht giraa hai to jaden tak nikal aayein jis ped ko aandhi men bhi hilte nahin dekha kaanton men ghire phool ko choom aayegi lekin titli ke paron ko kabhi chhilte nahin dekha kis tarah mirii rooh hari kar gaya aaKHir vo zahar jise jism men khilte nahin dekha
Parveen Shakir
4 likes
ab bhala chhod ke ghar kya karte shaam ke vaqt safar kya karte teri masroofiyaten jaante hain apne aane ki khabar kya karte jab sitaare hi nahin mil paa.e le ke ham shams-o-qamar kya karte vo musaafir hi khulii dhoop ka tha saa.e faila ke shajar kya karte KHaak hi awwal o aaKHir thehri kar ke zarre ko guhar kya karte raay pahle se banaa li tu ne dil men ab ham tire ghar kya karte ishq ne saare saleeqe bakshe husn se kasb-e-hunar kya karte
Parveen Shakir
1 likes
apni ruswaai tire naam ka charcha dekhooñ ik zaraa she'r kahooñ aur main kya kya dekhooñ neend aa jaa.e to kya mahfilein barpa dekhooñ aankh khul jaa.e to tanhaaii ka sehra dekhooñ shaam bhi ho gaii dhundla gaiin aañkhen bhi mirii bhoolne waale main kab tak tira rastaa dekhooñ ek ik kar ke mujhe chhod gaiin sab sakhiyaan aaj main KHud ko tiri yaad men tanhaa dekhooñ kaash sandal se mirii maang ujaale aa kar itne ghairoon men vahii haath jo apna dekhooñ tu mira kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaane kyun tere li.e dil ko dhadakna dekhooñ band kar ke mirii aañkhen vo sharaarat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhooñ sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon ek bacche ki tarah se use hansta dekhooñ mujh pe chha jaa.e vo barsaat ki khushboo ki tarah ang ang apna isee rut men mahakta dekhooñ phool ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhooñ main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar KHvaab ban kar tiri aankhoñ men utarta dekhooñ tu mirii tarah se yaktaa hai magar mire habeeb jee men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhooñ toot jaayen ki pighal jaayen mire kacche ghade tujh ko main dekhooñ ki ye aag ka dariyaa dekhooñ
Parveen Shakir
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Parveen Shakir.
Similar Moods
More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.







