na manzilon ko na ham rahguzar ko dekhte hain ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain na puchh jab vo guzarta hai be-niyazi se to kis malal se ham nama-bar ko dekhte hain tire jamal se hat kar bhi ek duniya hai ye ser-chashm magar kab udhar ko dekhte hain ajab fusun-e-kharidar ka asar hai ki ham usi ki aankh se apne hunar ko dekhte hain 'faraz' dar-khur-e-sajda har astana nahin ham apne dil ke havale se dar ko dekhte hain na manzilon ko na hum rahguzar ko dekhte hain ajab safar hai ki bas ham-safar ko dekhte hain na puchh jab wo guzarta hai be-niyazi se to kis malal se hum nama-bar ko dekhte hain tere jamal se hat kar bhi ek duniya hai ye ser-chashm magar kab udhar ko dekhte hain ajab fusun-e-kharidar ka asar hai ki hum usi ki aankh se apne hunar ko dekhte hain 'faraaz' dar-khur-e-sajda har aastana nahin hum apne dil ke hawale se dar ko dekhte hain
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
More from Ahmad Faraz
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
KHaamosh ho kyun daad-e-jafa kyun nahin dete bismil ho to qaateel ko dua kyun nahin dete vehshat ka sabab rauzan-e-zindaan to nahin hai mehr o mah o anjum ko bujha kyun nahin dete ik ye bhi to andaaz-e-ilaaj-e-gham-e-jaan hai ai chaaragaro dard badha kyun nahin dete munsif ho agar tum to kab insaaf karoge mujrim hain agar ham to saza kyun nahin dete rehzan ho to haazir hai mata-e-dil-o-jaan bhi rahbar ho to manzil ka pata kyun nahin dete kya beet gaii ab ke faraaz ahl-e-chaman par yaaraan-e-qafas mujh ko sadaa kyun nahin dete
Ahmad Faraz
4 likes
dil badan ka shareek-e-haal kahaan hijr phir hijr hai visaal kahaan ishq hai naam intihaaon ka is samundar men etidaal kahaan aisa nashaato zahar men bhi na tha ai gham-e-dil tiri misaal kahaan ham ko bhi apni paayemaali ka hai magar is qadar malaal kaha main nayi dosti ke mod pe tha aa gaya hai tira khayal kaha dil ki khush-fahm tha so hai warna tere milne ka ehtimaal kahaan vasl o hijraanhain aur duniyaayein in zamaanon men maah-o-saal kahaan tujh ko dekha to log hairaanhain aa gaya shahar men ghazaal kahaan tujh pe likkhi to saj gaii hai ghazal aa mila KHvaab se khayal kahaan ab to shah maat ho rahi hai faraaz ab bachaav ki koi chaal kahaan
Ahmad Faraz
1 likes
ab shauq se ki jaañ se guzar jaana chahiye bol ai hawa-e-shehr kidhar jaana chahiye kab tak isee ko aakhiri manzil kaheinge ham koo-e-muraad se bhi udhar jaana chahiye vo vaqt aa gaya hai ki saahil ko chhod kar gehre samundron men utar jaana chahiye ab raftagaan ki baat nahin kaarwaan ki hai jis samt bhi ho gard-e-safar jaana chahiye kuchh to suboot-e-khoon-e-tamanna kahii mile hai dil tahee to aankh ko bhar jaana chahiye ya apni khwahishon ko muqaddas na jaante ya khwahishon ke saath hi mar jaana chahiye
Ahmad Faraz
10 likes
us ka apna hi karishma hai fusoon hai yuñ hai yuñ to kehne ko sabhi kahte hain yuñ hai yuñ hai jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se ek saaya na daroon hai na baroon hai yuñ hai tum ne dekhi hi nahin dast-e-wafa ki tasveer nok-e-har-khaar pe ik qatra-e-khoon hai yuñ hai tum mohabbat men kahaan sood-o-ziyaan le aa.e ishq ka naam khird hai na junoon hai yuñ hai ab tum aa.e ho mirii jaan tamasha karne ab to dariyaa men talaatum na sukoon hai yuñ hai naaseha tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai roz aa jaata hai samjhaata hai yuñ hai yuñ hai shaay'ri taaza zamaanon ki hai men'maar faraaz ye bhi ik silsila-e-kun-fayaakoon hai yuñ hai
Ahmad Faraz
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







