na to main hi khud se huun mutmain na yuun hai ki mauj-e-bala nahin pa khuda-e-pak ke ru-baru kabhi uthte dast-e-du'a nahin ye ghhurur-o-zo'm hai na-rava ye sitam ye zulm hai be-sabab tah-e-khak tujh ko bhi hona hai tu bhi aadmi hai khuda nahin tu ki us ki zulf ki khush-bu hai tira ek apna maqam hai tiri ru men bad-e-nasim hai tu asir-e-bad-e-saba nahin mujhe muztarib hi na kar saki vo khalish vo shokhi-e-naqsh-e-pa tiri chaal men vo ada nahin tiri ankhon men bhi haya nahin na faqih-e-shar' ke hukm par na amir-e-shahr ke amr par tire dar ko chhod ke ai khuda main kisi ke dar pe jhuka nahin mire dil ko aaj sukun nahin miri jaan aaj hai muztarib tire lab ki kaliyan khili nahin tira tir-e-chashm chala nahin tire zulm ki hon vo andhiyan ya thapede mauj-e-bala ke hon mira 'ishq aisa charaghh hai jo kisi bhi vaqt bujha nahin tu bhi bad-guman hai be-sabab hai abhi bhi us ko tiri talab use tanha aise na chhod ki tira 'sani' itna bura nahin na to main hi khud se hun mutmain na yun hai ki mauj-e-bala nahin pa khuda-e-pak ke ru-baru kabhi uthte dast-e-du'a nahin ye ghurur-o-zo'm hai na-rawa ye sitam ye zulm hai be-sabab tah-e-khak tujh ko bhi hona hai tu bhi aadmi hai khuda nahin tu ki us ki zulf ki khush-bu hai tera ek apna maqam hai teri ru mein baad-e-nasim hai tu asir-e-baad-e-saba nahin mujhe muztarib hi na kar saki wo khalish wo shokhi-e-naqsh-e-pa teri chaal mein wo ada nahin teri aankhon mein bhi haya nahin na faqih-e-shar' ke hukm par na amir-e-shahr ke amr par tere dar ko chhod ke ai khuda main kisi ke dar pe jhuka nahin mere dil ko aaj sukun nahin meri jaan aaj hai muztarib tere lab ki kaliyan khili nahin tera tir-e-chashm chala nahin tere zulm ki hon wo aandhiyan ya thapede mauj-e-bala ke hon mera 'ishq aisa charagh hai jo kisi bhi waqt bujha nahin tu bhi bad-guman hai be-sabab hai abhi bhi us ko teri talab use tanha aise na chhod ki tera 'sani' itna bura nahin
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saani Araryavi.
Similar Moods
More moods that pair well with Saani Araryavi's ghazal.







