ghazalKuch Alfaaz

nahin rukta to ja khuda-hafiz ai dil-e-mubtala khuda-hafiz aai hogi to maut aaegi tum to jaao mira khuda hafiz ham chale rehn-e-arzu ho kar dil-e-be-muddaa khuda-hafiz ek kafir ki hai nazar dil par mere iman ka khuda hafiz bas khuda yaad aa gaya 'natiq' jab vo kah kar chala khuda-hafiz nahin rukta to ja khuda-hafiz ai dil-e-mubtala khuda-hafiz aai hogi to maut aaegi tum to jao mera khuda hafiz hum chale rehn-e-arzu ho kar dil-e-be-muddaa khuda-hafiz ek kafir ki hai nazar dil par mere iman ka khuda hafiz bas khuda yaad aa gaya 'natiq' jab wo kah kar chala khuda-hafiz

Related Ghazal

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

nahin aata kisi par dil hamaara vahii kashtii vahii saahil hamaara tere dar par karenge naukri ham teri galiyaan hain mustaqbil hamaara kabhi milta tha koi hotelon men kabhi bharta tha koi bill hamaara

Tehzeeb Hafi

83 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho kab tak kisi se koi mohabbat se pesh aaein us..ko mere ravayye par dukh hai to yaar ho

Tehzeeb Hafi

63 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Natiq Gulavthi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Natiq Gulavthi's ghazal.