jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho kab tak kisi se koi mohabbat se pesh aaein us..ko mere ravayye par dukh hai to yaar ho
Related Ghazal
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
bagair us..ko bataaye nibh aanaa padta hai ye ishq raaz hai isko chhup aanaa padta hai main apne zehan ki zid se bahut pareshaan hooñ tere khyaal ki chaukhat pe aanaa padta hai tere bagair hi achchhe the kya museebat hai ye kaisa pyaar hai har din jat aanaa padta hai
Mehshar Afridi
73 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
More from Tehzeeb Hafi
ashk ज़ाया' ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mere gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujhpe kitne saanihe guzre par un aankhoñ ko kya meraa dukh ye hain ki meraa hamsafar rota na tha maine uske vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mere kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi usse tha magar itnaa nahin tab main us..ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
44 likes
ashk zaaeaa ho rahe the dekh kar rota na tha jis jagah banta tha rona main udhar rota na tha sirf teri chup ne mire gaal geelay kar diye main to vo hooñ jo kisi ki maut par rota na tha mujh pe kitne saanhe guzre par in aankhoñ ko kya meraa dukh ye hai ki meraa hum-safar rota na tha main ne us ke vasl men bhi hijr kaata hai kahii vo mire kaandhe pe rakh leta tha sar rota na tha pyaar to pahle bhi us se tha magar itnaa nahin tab main us ko choo to leta tha magar rota na tha giryaa-o-zaari ko bhi ik khaas mausam chahiye meri aañkhen dekh lo main vaqt par rota na tha
Tehzeeb Hafi
48 likes
ajeeb KHvaab tha us ke badan men kaai thii vo ik pari jo mujhe sabz karne aayi thii vo ik charagh-kada jis men kuchh nahin tha meraa vo jal rahi thii vo qindeel bhi paraai thii na jaane kitne parindon ne is men shirkat ki kal ek ped ki taraqeeb-e-ro-numaai thii hawaon aao mire gaav ki taraf dekho jahaan ye ret hai pahle yahaañ taraai thii kisi sipaah ne khe men laga diye hain vahaañ jahaan ye main ne nishaani tiri dabaai thii gale mila tha kabhi dukh bhare december se mire vujood ke andar bhi dhund chhaai thii
Tehzeeb Hafi
15 likes
kuchh zaroorat se kam kiya gaya hai tere jaane ka gham kiya gaya hai ta-qayamat hare bhare rahenge in darakhton pe dam kiya gaya hai is li.e raushni men thandak hai kuchh charaaghon ko nam kiya gaya hai kya ye kam hai ki aakhiri bosaus jabeen par raqam kiya gaya hai paaniyon ko bhi KHvaab aane lage ashk dariyaa men zam kiya gaya hai un ki aankhoñ ka tazkira kar ke meri aankhoñ ko nam kiya gaya hai dhool men at ga.e hain saare ghazaal itni shiddat se ram kiya gaya hai
Tehzeeb Hafi
19 likes
ye soch kar meraa sehra men jee nahin lagta main shaamil-e-saf-e-aawargi nahin lagta kabhi kabhi to vo KHuda ban ke saath chaltaa hai kabhi kabhi to vo insaan bhi nahin lagta yaqeen kyun nahin aata tujhe mere dil par ye phal kaha se tujhe mausami nahin lagta main chahta hooñ vo meri jabeen pe bosa de magar jali hui roti ko ghee nahin lagta main uske paas kisi kaam se nahin aata use ye kaam koi kaam hi nahin lagta
Tehzeeb Hafi
49 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Tehzeeb Hafi.
Similar Moods
More moods that pair well with Tehzeeb Hafi's ghazal.







