naala hai bulbul-e-shoreeda tira khaam abhii apne seene men ise aur zaraa thaam abhii pukhta hoti hai agar maslahat-andesh ho aql ishq ho maslahat-andesh to hai khaam abhii be-khatr kood pada aatish-e-namrood men ishqaql hai mahv-e-tamaasha-e-lab-e-baam abhii ishq farmooda-e-qaasid se subuk-gaam-e-amal aql samjhi hi nahin m'ani-e-paighaam abhii shewa-e-ishq hai aazaa dii o dahar-aashebi tu hai zunnaari-e-but-khaana-e-ayyaam abhii uzr-e-parhez pe kahtaa hai bigad kar saaqi hai tire dil men vahii kaavish-e-anjaam abhii saii-e-paiham hai tarazoo-kam-o-kaif-e-hayaat teri mizaan hai shumaar-e-sehr-o-shaam abhii abr-e-naisaan ye tunuk-bakhshi-e-shabnam kab tak mire kohsaar ke laale hain tahee-jaam abhii baada-gardaan-e-ajm vo arabee meri sharaab mire saaghar se jhijakte hain may-aashaam abhii khabar iqbaal ki laai hai gulistaan se naseem nau-giraftaar fadakta hai tah-e-daam abhii
Related Ghazal
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
yaanii ki ishq apna mukammal nahin hua gar main tumhaare hijr men paagal nahin hua vo shakhs saalon baad bhi kitna haseen hai vo rang canvas pe kabhi dal nahin hua us god jaisi neend muyassar na ho saki utna to makhmali kabhi makhmal nahin hua do chaar raabton ne hi paagal kiya mujhe achha hua jo rabt musalsal nahin hua is baar mere haal pe khulkar nahin hañsi is baar tere gaal pe dimple nahin hua andha vo kyuuñ hua pata lagne ke baad main ta-umr uski aankh se ojhal nahin hua yuñ kheenchti hai teer vo apne nishaane par har ik shikaar mar gaya ghaayal nahin hua
Kushal Dauneria
34 likes
vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka
Javed Akhtar
62 likes
safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo
Nida Fazli
61 likes
mujh aise shaKHs se rishta nahin nikaal sakaa vo apne husn ka sadqa nahin nikaal sakaa main mil raha tha use baad ek muddat ke so usse koi bhi rishta nahin nikaal sakaa tere li.e to mujhe zindagi bhi kam thii magar mere li.e to tu lamha nahin nikaal sakaa tu dekh paai nahin mujh...ko khatm hote hue main teri aankh ka kachra nahin nikaal sakaa ik aisi baat ka ghussa hai mere lehje men vo baat jiska main ghussa nahin nikaal sakaa
Vikram Gaur Vairagi
33 likes
More from Allama Iqbal
apni jaulaan-gaah zer-e-aasmaan samjha tha main aab o gil ke khel ko apna jahaan samjha tha main be-hijaabi se tiri toota nigaahon ka tilism ik rida-e-neel-goon ko aasmaañ samjha tha main kaarwaan thak kar fazaa ke pech-o-kham men rah gaya mehr o maah o mushtari ko hum-inaan samjha tha main ishq ki ik jast ne tay kar diya qissa tamaam is zameen o aasmaañ ko be-karaan samjha tha main kah gaiin raaz-e-mohabbat parda-daari-ha-e-shauq thii fugaan vo bhi jise zabt-e-fughaan samjha tha main thii kisi darmaanda rah-rau ki sada-e-dardnaak jis ko aawaaz-e-raheel-e-kaarvaan samjha tha main
Allama Iqbal
1 likes
khird ke paas khabar ke siva kuchh aur nahin tira ilaaj nazar ke siva kuchh aur nahin har ik maqaam se aage maqaam hai teraa hayaat zauq-e-safar ke siva kuchh aur nahin giraa-baha hai to hifz-e-khu dii se hai warna guhar men aab-e-guhar ke siva kuchh aur nahin ragon men gardish-e-khoon hai agar to kya haasil hayaat soz-e-jigar ke siva kuchh aur nahin uroos-e-laala munaasib nahin hai mujh se hijaab ki main naseem-e-sehr ke siva kuchh aur nahin jise kasaad samjhte hain taajiraan-e-farang vo shay mata-e-hunar ke siva kuchh aur nahin badaa kareem hai iqbaal'-e-be-nava lekin ata-e-shola sharar ke siva kuchh aur nahin
Allama Iqbal
0 likes
dil soz se khaali hai nigah paak nahin hai phir is men ajab kya ki tu bebaak nahin hai hai zauq-e-tajalli bhi isee KHaak men pinhaan ghaafil tu nira sahib-e-idraak nahin hai vo aankh ki hai surma-e-afrang se raushan purkaar o suhkan-saaz hai namnaak nahin hai kya sufi o mulla ko khabar mere junoon ki un ka sar-e-daaman bhi abhii chaak nahin hai kab tak rahe mahkoomi-e-anjum men mirii KHaak ya main nahin ya gardish-e-aflaak nahin hai bijli hooñ nazar koh o biyaabaan pe hai mirii mere li.e shaayaan khas-o-khaashaak nahin hai aalam hai faqat momin-e-jaanbaaz ki meeraas mumin nahin jo sahib-e-laulaak nahin hai
Allama Iqbal
1 likes
digar-goon hai jahaan taaron ki gardish tez hai saaqi dil-e-har-zarra men ghaaga-e-rusta-khez hai saaqi mata-e-deen-o-daanish loot gaii allah-waalon ki ye kis kaafir-ada ka ghaza-e-khoon-rez hai saaqi vahii deerina beemaarii vahii na-mohkami dil ki ilaaj is ka vahii aab-e-nashaat-angez hai saaqi haram ke dil men soz-e-aarzoo paida nahin hota ki paidaai tiri ab tak hijaab-aamez hai saaqi na utha phir koi roomi ajam ke laala-zaaro se vahii aab-o-gil-e-eran vahii tabrez hai saaqi nahin hai na-umeed iqbaal apni kisht-e-veeraan se zaraa nam ho to ye miTTi bahut zarkhez hai saaqi faqeer-e-raah ko bakshe ga.e asraar-e-sultaani baha meri nava ki daulat-e-parvez hai saaqi
Allama Iqbal
4 likes
gulzaar-e-hast-o-bood na begaana-waar dekh hai dekhne ki cheez ise baar baar dekh aaya hai tu jahaan men misaal-e-sharaar dekh dam de na jaa.e hasti-na-paayedaar dekh maana ki teri deed ke qaabil nahin hooñ main tu miraa shauq dekh miraa intizaar dekh khuli hain zauq-e-deed ne aañkhen tiri agar har raahguzaar men naqsh-e-kaf-e-pa-e-yaar dekh
Allama Iqbal
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Allama Iqbal.
Similar Moods
More moods that pair well with Allama Iqbal's ghazal.







