nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji mangun main kya is ke siva hazrat nizamuddin-ji ankhon pe yuun chhae ho tum har ja nazar aae ho tum kaisa junun mujh ko hua hazrat nizamuddin-ji hathon se tum ne jo kiya raushan vafa ka ik diya andhi ki zad men vo jala hazrat nizamuddin-ji lete the allah naam jo japte the dil men raam jo tum ne kiya sab ka bhala hazrat nizamuddin-ji 'khusrav' ki ankhon se kabhi dekhe agar tum ko koi ahval hoga us ka kya hazrat nizamuddin-ji nisbat rahe tum se sada hazrat nizamuddin-ji mangun main kya is ke siwa hazrat nizamuddin-ji aankhon pe yun chhae ho tum har ja nazar aae ho tum kaisa junun mujh ko hua hazrat nizamuddin-ji hathon se tum ne jo kiya raushan wafa ka ek diya aandhi ki zad mein wo jala hazrat nizamuddin-ji lete the allah nam jo japte the dil mein ram jo tum ne kiya sab ka bhala hazrat nizamuddin-ji 'khusraw' ki aankhon se kabhi dekhe agar tum ko koi ahwal hoga us ka kya hazrat nizamuddin-ji
Related Ghazal
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho
Jaun Elia
315 likes
itnaa majboor na kar baat banaane lag jaayen ham tere sar kii qasam jhooth hi khaane lag jaayen itne sannaate pi.e meri sama'at ne ki ab sirf aavaaz pe chaahoon to nishaane lag jaayen chaliye kuchh aur nahin aah-shumaarii hi sahi ham kisi kaam to is dil ke bahaane lag jaayen ham vo gum-gasht-e-mohabbat hain ki tum to kya ho khud ko ham dhoondhne niklen to zamaane lag jaayen khvaab kuchh aise dikhaaye hain faqiri ne mujhe jin kii ta'beer men shahon ke khazaane lag jaayen main agar apni jawaani ke suna doon qisse ye jo launde hain mire paanv dabane lag jaayen
Mehshar Afridi
173 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
More from Shahryar
tere vaade ko kabhi jhooth nahin samjhoonga aaj ki raat bhi darwaaza khula rakkhoonga dekhne ke li.e ik chehra bahut hota hai aankh jab tak hai tujhe sirf tujhe dekhoonga meri tanhaaii ki ruswaai ki manzil aayi vasl ke lamhe se main hijr ki shab badloonga shaam hote hi khulii sadkon ki yaad aati hai sochta roz hooñ main ghar se nahin nikloonga ta-ki mahfooz rahe mere qalam ki hurmat sach mujhe likhna hai main husn ko sach likkhoonga
Shahryar
6 likes
dil cheez kya hai aap mirii jaan leejie bas ek baar meraa kaha maan leejie is anjuman men aap ko aanaa hai baar baar deewar-o-dar ko ghaur se pahchaan leejie m aanaa ki doston ko nahin dosti ka paas lekin ye kya ki gair ka ehsaan leejie kahiye to aasmaañ ko zameen par utaar laayein mushkil nahin hai kuchh bhi agar thaan leejie
Shahryar
8 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Shahryar.
Similar Moods
More moods that pair well with Shahryar's ghazal.







