ghazalKuch Alfaaz

palkon par hasrat ki ghataen ham bhi pagal tum bhi ji na saken aur marte jaaen ham bhi pagal tum bhi donon apni aan ke sachche donon aql ke andhe haath badhaen phir hat jaaen ham bhi pagal tum bhi khvab men jaise jaan chhuda kar bhaag na sakne vaale bhagen aur vahin rah jaaen ham bhi pagal tum bhi sandal phule jangal jaage naag phirin matvale nange paanv chalen ghabraen ham bhi pagal tum bhi palkon par hasrat ki ghataen hum bhi pagal tum bhi ji na saken aur marte jaen hum bhi pagal tum bhi donon apni aan ke sachche donon aql ke andhe hath badhaen phir hat jaen hum bhi pagal tum bhi khwab mein jaise jaan chhuda kar bhag na sakne wale bhagen aur wahin rah jaen hum bhi pagal tum bhi sandal phule jangal jage nag phirin matwale nange panw chalen ghabraen hum bhi pagal tum bhi

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

More from Mahboob Khizan

naaz-o-andaaz dil dikhaane lage ab vo fitne samajh men aane lage phir vahii intizaar ki zanjeer raat aayi diye jalane lage chaanv padne lagii sitaaron ki rooh ke zakham jhilmilaane lage haal ahvaal kya bataayen kise sab iraade ga.e thikaane lage manzil-e-subh aa gaii shaayad raaste har taraf ko jaane lage

Mahboob Khizan

0 likes

sambhaalne se tabeeyat kahaan sambhalti hai vo be-kasi hai ki duniya ragon men chalti hai ye sard-mehr ujaala ye jeeti-jaagti raat tire khayal se tasveer-e-maah jaltee hai vo chaal ho ki badan ho kamaan jaisi kashish qadam se ghaat ada se ada nikalti hai tumhein khayal nahin kis tarah bataayen tumhein ki saans chalti hai lekin udaas chalti hai tumhaare shahar ka insaaf hai ajab insaaf idhar nigaah udhar zindagi badalti hai bikhar ga.e mujhe saanche men dhaalne waale yahaañ to zaat bhi saanche samet dhalti hai khizaan hai haasil-e-hangaama-e-bahaar khizaan bahaar phoolti hai kaayenaat phalti hai

Mahboob Khizan

0 likes

palkon par hasrat ki ghataaein ham bhi paagal tum bhi jee na saken aur marte jaayen ham bhi paagal tum bhi dono apni aan ke sacche dono aql ke andhe haath badhaayein phir hat jaayen ham bhi paagal tum bhi KHvaab men jaise jaan chhuda kar bhag na sakne waale bhaagen aur wahin rah jaayen ham bhi paagal tum bhi sandal phoole jungle jaage naag fireen matwaale nange paanv chalen ghabraayein ham bhi paagal tum bhi

Mahboob Khizan

0 likes

mohabbat ko gale ka haar bhi karte nahin banta kuchh aisi baat hai inkaar bhi karte nahin banta khuloos-e-naaz ki tauheen bhi dekhi nahin jaati shuur-e-husn ko bedaar bhi karte nahin banta tujhe ab kya kahein ai meherbaan apna hi rona hai ki saari zindagi eesaar bhi karte nahin banta sitam dekho ki us be-dard se apni ladai hai jise sharminda-e-paikaar bhi karte nahin banta ada ranjeedgi parwaanagi aansoo-bhari aañkhen ab itni saadgi kya pyaar bhi karte nahin banta jawaani meherbaani husn bhi achchhii museebat hai use achha use beemaar bhi karte nahin banta bhanwar se jee bhi ghabraata hai lekin kya kiya jaa.e tawaaf-e-mauj-e-kam-raftaar bhi karte nahin banta isee dil ko bharii duniya ke jhagde jhelne thehre yahii dil jis ko duniya-daar bhi karte nahin banta jalaati hai dilon ko sard-mehri bhi zamaane ki sawaal-e-garmi-e-baazaar bhi karte nahin banta khizaan un ki tavajjoh aisi naa-mumkin nahin lekin zaraa si baat par israar bhi karte nahin banta

Mahboob Khizan

0 likes

ham aap qayamat se guzar kyun nahin jaate jeene ki shikaayat hai to mar kyun nahin jaate katraate hain bal khaate hain ghabraate hain kyun log sar dii hai to paani men utar kyun nahin jaate aankhoñ men namak hai to nazar kyun nahin aata palkon pe guhar hain to bikhar kyun nahin jaate akhbaar men rozaana vahii shor hai yaanii apne se ye haalaat sanwar kyun nahin jaate ye baat abhii mujh ko bhi maaloom nahin hai patthar idhar aate hain udhar kyun nahin jaate teri hi tarah ab ye tire hijr ke din bhi jaate nazar aate hain magar kyun nahin jaate ab yaad k abhii aa.e to aaiine se poochho mahboob-khizaan shaam ko ghar kyun nahin jaate

Mahboob Khizan

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Mahboob Khizan.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Mahboob Khizan's ghazal.