ghazalKuch Alfaaz

phir chahe jitni qamat le kar aa jaana pahle apni zaat se tum bahar aa jaana tanha tai kar lunga saare mushkil raste shart ye hai ki tum darvaze par aa jaana main divar pe rakh aunga diip jala kar saaya ban kar tum darvaze par aa jaana tum ne ham ko thukraya ye zarf tumhara jab tum ko thukra den log idhar aa jaana baton ka bhi zakhm bahut gahra hota hai qatl bhi karna ho to be-khanjar aa jaana tum kyuun apni satah pe ham ko laana chaho mushkil hai gahrai ka uupar aa jaana jab thak jaae zehn khudai karte karte bandon se milne banda-parvar aa jaana ham ne ye tahzib parindon se sikhi hai subh ko ghar se jaana shaam ko ghar aa jaana rasta rasta ek ajaib-gah 'muzaffar' hansti ankhon se jaana shashdar aa jaana phir chahe jitni qamat le kar aa jaana pahle apni zat se tum bahar aa jaana tanha tai kar lunga sare mushkil raste shart ye hai ki tum darwaze par aa jaana main diwar pe rakh aaunga dip jala kar saya ban kar tum darwaze par aa jaana tum ne hum ko thukraya ye zarf tumhaara jab tum ko thukra den log idhar aa jaana baaton ka bhi zakhm bahut gahra hota hai qatl bhi karna ho to be-khanjar aa jaana tum kyun apni satah pe hum ko lana chaho mushkil hai gahrai ka upar aa jaana jab thak jae zehn khudai karte karte bandon se milne banda-parwar aa jaana hum ne ye tahzib parindon se sikhi hai subh ko ghar se jaana sham ko ghar aa jaana rasta rasta ek ajaib-gah 'muzaffar' hansti aankhon se jaana shashdar aa jaana

Related Ghazal

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Muzaffar Warsi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Muzaffar Warsi's ghazal.