ghazalKuch Alfaaz

phir koi naya zakhm naya dard ata ho us dil ki khabar le jo tujhe bhuul chala ho ab dil men sar-e-sham charaghhan nahin hota shoala tire ghham ka kahin bujhne na laga ho kab ishq kiya kis se kiya jhuut hai yaaro bas bhuul bhi jaao jo kabhi ham se suna ho darvaza khula hai ki koi laut na jaae aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho shayad ki tire qurb se aa jaae mayassar vo dard ki jo dard-e-judai se siva ho ab meri ghhazal ka bhi taqaza hai ye tujh se andaz-o-ada ka koi uslub naya ho phir koi naya zakhm naya dard ata ho us dil ki khabar le jo tujhe bhul chala ho ab dil mein sar-e-sham charaghan nahin hota shoala tere gham ka kahin bujhne na laga ho kab ishq kiya kis se kiya jhut hai yaro bas bhul bhi jao jo kabhi hum se suna ho darwaza khula hai ki koi laut na jae aur us ke liye jo kabhi aaya na gaya ho shayad ki tere qurb se aa jae mayassar wo dard ki jo dard-e-judai se siwa ho ab meri ghazal ka bhi taqaza hai ye tujh se andaz-o-ada ka koi uslub naya ho

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Athar Nafees.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Athar Nafees's ghazal.