apna sa shauq auron men laayein kahaan se ham ghabra ga.e hain be-dili-e-hamrahaan se ham kuchh aisi door bhi to nahin manzil-e-muraad lekin ye jab ki chhoot chalen kaarwaan se ham ai yaad-e-yaar dekh ki ba-wasf-e-ranj-e-hijr masroor hain tiri khalish-e-na-tavaan se ham maaloom sab hai poochte ho phir bhi muddaa ab tum se dil ki baat kahein kya zabaan se ham ai zohd-e-khushk teri hidaayat ke vaaste saugaat-e-ishq laaye hain koo-e-butaan se ham betaabiyon se chhup na sakaa haal-e-aarzoo aaKHir bache na us nigah-e-bad-guma se ham peeraana-sar bhi shauq ki himmat buland hai khwaahaan-e-kaam-e-jaan hain jo us naujavaan se ham mayus bhi to karte nahin tum z-raah-e-naaz tang aa ga.e hain kashmakash-e-imtihaan se ham khilwat banegi tere gham-e-jaan-navaaz ki lenge ye kaam apne dil-e-shaadmaan se ham hai intiha-e-yaas bhi ik ibtida-e-shauq phir aa ga.e wahin pe chale the jahaan se ham hasrat phir aur ja ke karen kis ki bandagi achha jo sar uthaaye bhi is aastaan se ham
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
More from Hasrat Mohani
kya vo ab naadim hain apne jaur ki roodaad se laaye hain meerut jo aaKHir mujh ko faizaabaad se sair-e-gul ko aayi thii jis dam sawaari aap ki phool utha tha chaman fakhr-e-mubaarakbaad se har kas-o-na-kas ho kyunkar kaamgaar-e-be-khu dii ye hunar seekha hai dil ne ik bade ustaad se ik jahaan mast-e-mohabbat hai ki har soo b-e-uns chhaai hai un gesuon ki nikhat-e-barbaad se ab talak maujood hai kuchh kuchh laga laaye the ham vo jo ik lapka kabhi na khaak-e-jahaan aabaad se daava-e-taqva ka hasrat kis ko aata hai yaqeen aap aur jaate rahen peer-e-mugaan ki yaad se
Hasrat Mohani
2 likes
aur bhi ho ga.e begaana vo ghaflat kar ke aazmaaya jo unhen zabt-e-mohabbat kar ke dil ne chhodaa hai na chhode tire milne ka khayal baar-ha dekh liya ham ne malaamat kar ke dekhne aa.e the vo apni mohabbat ka asar kehne ko ye hai ki aa.e hain ayaadat kar ke pasti-e-hausla-e-shauq ki ab hai ye salaah baith rahiye gham-e-hijraan pe qanaat kar ke dil ne paaya hai mohabbat ka ye aali rutba aap ke dard-e-dawaakaar ki khidmat kar ke rooh ne paai hai takleef-e-judaai se najaat aap ki yaad ko sarmaaya-e-raahat kar ke chhed se ab vo ye kahte hain ki sambhalon hasrat sabr o taab-e-dil-e-beemaar ko gharaat kar ke
Hasrat Mohani
0 likes
vo chup ho ga.e mujh se kya kahte kahte ki dil rah gaya muddaa kahte kahte mira ishq bhi khud-gharz ho chala hai tire husn ko be-vafa kahte kahte shab-e-gham kis aaraam se so ga.e hain fasana tiri yaad ka kahte kahte ye kya pad gaii khoo-e-dushnaam tum ko mujhe na-sazaa barmala kahte kahte khabar un ko ab tak nahin mar mite ham dil-e-zaar ka maajra kahte kahte ajab kya jo hai bad-gumaan sab se waiz bura sunte sunte bura kahte kahte vo aa.e magar aa.e kis vaqt hasrat ki ham chal base marhaba kahte kahte
Hasrat Mohani
1 likes
aasaan-e-haqeeqi hai na kuchh sahl-e-majaazi maaloom hui raah-e-mohabbat ki daraazi kuchh lutf o nazar laazim o malzoom nahin hain ik ye bhi tamannaa ki na ho shobda baazi dil khoob samajhta hai tire harf-e-karam ko har-chand vo urdu hai na turki hai na taazi qaaim hai na vo husn-e-rukh-e-yaar ka aalam baaki hai na vo shauq ki hangaama-nawaazi ai ishq tiri fateh bahr-haal hai saabit mar kar bhi shaheedaan-e-mohabbat hue ghaazi kar jald ha men khatm kahii ai gham-e-jaanaan kaam aayegi kis roz tiri seena-gudaazi maaloom hai duniya ko ye hasrat ki haqeeqat khilwat men vo may-khwaar hai jalvat men namaazi
Hasrat Mohani
0 likes
har haal men raha jo tira aasraa mujhe mayus kar sakaa na hujoom-e-bala mujhe har nag men ne unhin ki talab ka diya payaam har saaz ne unhin ki sunaai sadaa mujhe har baat men unhin ki khushi ka raha khayal har kaam se garz hai unhin ki raza mujhe rehta hoon ghark un ke tasavvur men roz o shab masti ka pad gaya hai kuchh aisa mazaa mujhe rakhiye na mujh pe tark-e-mohabbat ki tohmaten jis ka khayal tak bhi nahin hai rawa mujhe kya kahte ho ki aur laga lo kisi se dil tum sa nazar bhi aa.e koi doosra mujhe begaana-e-adab ki.e deti hai kya karoonus mahw-e-naaz ki nigah-e-aashnaa mujhe us be-nishaan ke milne ki hasrat hui ummeed aab-e-baqa se badh ke hai zahar-e-fanaa mujhe
Hasrat Mohani
0 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Hasrat Mohani.
Similar Moods
More moods that pair well with Hasrat Mohani's ghazal.







