ghazalKuch Alfaaz

qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jaata vo shakhs koi faisla kar bhi nahin jaata ankhen hain ki khali nahin rahti hain lahu se aur zakhm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jaata vo rahat-e-jan hai magar is dar-badari men aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jaata ham dohri aziyyat ke giraftar musafir paanv bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jaata dil ko tiri chahat pe bharosa bhi bahut hai aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahin jaata pagal hue jaate ho 'faraz' us se mile kya itni si khushi se koi mar bhi nahin jaata qurbat bhi nahin dil se utar bhi nahin jata wo shakhs koi faisla kar bhi nahin jata aankhen hain ki khali nahin rahti hain lahu se aur zakhm-e-judai hai ki bhar bhi nahin jata wo rahat-e-jaan hai magar is dar-badari mein aisa hai ki ab dhyan udhar bhi nahin jata hum dohri aziyyat ke giraftar musafir panw bhi hain shal shauq-e-safar bhi nahin jata dil ko teri chahat pe bharosa bhi bahut hai aur tujh se bichhad jaane ka dar bhi nahin jata pagal hue jate ho 'faraaz' us se mile kya itni si khushi se koi mar bhi nahin jata

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen

Ahmad Faraz

130 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

More from Ahmad Faraz

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

karoon na yaad magar kis tarah bhulaaun use ghazal bahaana karoon aur gungunaun use vo khaar khaar hai shaakh-e-gulaab ki maanind main zakham zakham hooñ phir bhi gale lagaaun use ye log tazkire karte hain apne logon ke main kaise baat karoon ab kahaan se laaun use magar vo zood-faramosh zood-ranj bhi hai ki rooth jaa.e agar yaad kuchh dilaaun use vahii jo daulat-e-dil hai vahii jo raahat-e-jaan tumhaari baat pe ai naaseho ganwaun use jo hum-safar sar-e-manzil bichhad raha hai faraaz ajab nahin hai agar yaad bhi na aaun use

Ahmad Faraz

3 likes

vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath

Ahmad Faraz

3 likes

us ka apna hi karishma hai fusoon hai yuñ hai yuñ to kehne ko sabhi kahte hain yuñ hai yuñ hai jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se ek saaya na daroon hai na baroon hai yuñ hai tum ne dekhi hi nahin dast-e-wafa ki tasveer nok-e-har-khaar pe ik qatra-e-khoon hai yuñ hai tum mohabbat men kahaan sood-o-ziyaan le aa.e ishq ka naam khird hai na junoon hai yuñ hai ab tum aa.e ho mirii jaan tamasha karne ab to dariyaa men talaatum na sukoon hai yuñ hai naaseha tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai roz aa jaata hai samjhaata hai yuñ hai yuñ hai shaay'ri taaza zamaanon ki hai men'maar faraaz ye bhi ik silsila-e-kun-fayaakoon hai yuñ hai

Ahmad Faraz

4 likes

phir usii rahguzar par shaayad ham kabhi mil saken magar shaayad jin ke ham muntazir rahe un ko mil ga.e aur hum-safar shaayad jaan-pahchaan se bhi kya hogaa phir bhi ai dost ghaur kar shaayad ajnabbiyyat ki dhundh chhat jaa.e chamak utthe tiri nazar shaayad zindagi bhar lahu rulaayegi yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz phir bhi tu intizaar kar shaayad

Ahmad Faraz

4 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.