ghazalKuch Alfaaz

rahat na mil saki mujhe mai-khana chhod kar gardish men huun main gardish-e-paimana chhod kar khum men subu men jaam men niyyat lagi rahi mai-khane hi men ham rahe mai-khana chhod kar ankhon ko chhod jaun ilahi main kya karun hatti nahin nazar rukh-e-janana chhod kar aata hai ji men saqi-e-mah-vash pe baar baar lab chuum luun tira lab-e-paimana chhod kar hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu jaata kahan hai shama ko parvana chhod kar do ghunt ne badha diye rindon ke hausle miina o khum pe jhuk pade paimana chhod kar phir bu-e-zulf-e-yar ne aa kar sitam kiya phir chal diya mujhe dil-e-divana chhod kar yaad aai kis ki aankh ki rind uth khade hue paimana tod kar mai o mai-khana chhod kar duniya men afiyat ki jagah hai yahi 'jalil' jaana kahin na gosha-e-mai-khana chhod kar rahat na mil saki mujhe mai-khana chhod kar gardish mein hun main gardish-e-paimana chhod kar khum mein subu mein jam mein niyyat lagi rahi mai-khane hi mein hum rahe mai-khana chhod kar aankhon ko chhod jaun ilahi main kya karun hatti nahin nazar rukh-e-jaanana chhod kar aata hai ji mein saqi-e-mah-wash pe bar bar lab chum lun tera lab-e-paimana chhod kar hoti kahan hai dil se juda dil ki aarzu jata kahan hai shama ko parwana chhod kar do ghunt ne badha diye rindon ke hausle mina o khum pe jhuk pade paimana chhod kar phir bu-e-zulf-e-yar ne aa kar sitam kiya phir chal diya mujhe dil-e-diwana chhod kar yaad aai kis ki aankh ki rind uth khade hue paimana tod kar mai o mai-khana chhod kar duniya mein aafiyat ki jagah hai yahi 'jalil' jaana kahin na gosha-e-mai-khana chhod kar

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

tum haqeeqat nahin ho hasrat ho jo mile KHvaab men vo daulat ho tum ho KHushboo ke KHvaab ki KHushboo aur itne hi bemuravvat ho kis tarah chhod doon tumhein jaanaan tum meri zindagi ki aadat ho kislie dekhte ho aaina tum to KHud se bhi khoobsurat ho dastaan khatm hone waali hai tum meri aakhiri muhabbat ho

Jaun Elia

315 likes

More from Jaleel Manikpuri

bahaarein luta deen jawaani luta dii tumhaare li.e zindagaani luta dii saba ne to barsaaye gul fasl-e-gul men ghatta ne may-e-araghwaani luta dii adaaon pe kar dii fida saari hasti nigaahon pe duniya-e-faani luta dii ajab daulat-e-husn paai thii dil nena maani mirii ik na maani luta dii na khona tha ghaflat men ahad-e-jawaani ajab raat thii ye suhaani luta dii na kii husn kii qadr ai maah-e-kaamil faqat raat bhar men jawaani luta dii haseenon ne rangeeni-e-khwab-e-sheereen sooni jab hamaari kahaanii luta dii ajab hausla ham ne guncha ka dekha tabassum pe saari jawaani luta dii jaleel aap kii shayari par kisi ne nigaahon kii jadoo-bayaani luta dii

Jaleel Manikpuri

0 likes

na khushi achchhii hai ai dil na malaal achha hai yaar jis haal men rakhe vahii haal achha hai dil-e-betaab ko pahluu men machalte kya der sun le itnaa kisi kaafir ka jamaal achha hai baat ulti vo samjhte hain jo kuchh kahtaa hooñ ab ke poocha to ye kah dooñga ki haal achha hai sohbat aaiine se bachpan men KHuda KHair kare vo abhii se kahii samjhen na jamaal achha hai mushtari dil ka ye kah kah ke banaya un ko cheez anokhi hai nayi jins hai maal achha hai chashm o dil jis ke hon mushtaaq vo soorat achchhii jis ki taa'riif ho ghar ghar vo jamaal achha hai yaar tak roz pahunchti hai buraai meri rashk hota hai ki mujh se mira haal achha hai apni aañkhen nazar aati hain jo achchhii un ko jaante hain mire beemaar ka haal achha hai baaton baaton men laga laaye haseenon ko jaleel tum ko bhi seher-bayaani men kamaal achha hai

Jaleel Manikpuri

6 likes

aks hai aaina-e-dahr men soorat meri kuchh haqeeqat nahin itni hai haqeeqat meri dekhta main use kyunkar ki naqaab uthte hi ban ke deewaar khadi ho gaii hairat meri roz vo KHvaab men aate hain gale milne ko main jo sota hooñ to jaag uthatii hai qismat meri sach hai ehsaan ka bhi bojh bahut hota hai chaar phoolon se dabii jaati hai turbat meri aaiine se unhen kuchh uns nahin baat ye hai chahte hain koi dekha kare soorat meri main ye samjhoon koi maashooq mire haath aaya mire qaabu men jo aa jaa.e tabi'at meri boo-e-gesoo ne shagoofa ye naya chhodaa hai nikhat-e-gul se uljhti hai tabi'at meri un se izhaar-e-mohabbat jo koi karta hai door se us ko dikha dete hain turbat meri jaate jaate vo yahii kar ga.e taakeed jaleel dil men rakhiyega hifazat se mohabbat meri

Jaleel Manikpuri

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaleel Manikpuri.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaleel Manikpuri's ghazal.