ghazalKuch Alfaaz

rafta rafta khvahishen bhi be-zaban hoti gaiin talkhiyan jab vaqt ke sach ki 'ayan hoti gaiin chand taron ki shu'a'en mehr-e-taban dekh kar asman ki vus'aton men khud nihan hoti gaiin mere lafzon par khayalon par qalam par zehn ki rafta rafta kuchh na kuchh pabandiyan hoti gaiin rabte tuute hain rishte rah gae hain naam ke talkhiyan haael dilon ke darmiyan hoti gaiin ye zamin-o-asman 'razi' ye dil-kash kainat ek nuqte se hazaron kahkashan hoti gaiin rafta rafta khwahishen bhi be-zaban hoti gain talkhiyan jab waqt ke sach ki 'ayan hoti gain chand taron ki shu'a'en mehr-e-taban dekh kar aasman ki wus'aton mein khud nihan hoti gain mere lafzon par khayalon par qalam par zehn ki rafta rafta kuchh na kuchh pabandiyan hoti gain rabte tute hain rishte rah gae hain nam ke talkhiyan hael dilon ke darmiyan hoti gain ye zamin-o-asman 'raazi' ye dil-kash kainat ek nuqte se hazaron kahkashan hoti gain

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Razi Abuzar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Razi Abuzar's ghazal.