ghazalKuch Alfaaz

rah gai lut kar bahar-e-zindagi zindagi hai sogvar-e-zindagi meri nazron men hasin dhoka hai ik jis ko kahte hain bahar-e-zindagi kulfaten kuchh talkhiyan kuchh hadse ab yahi hai yadgar-e-zindagi mit raha ho jo kisi ke ishq men phir kahan us ko qarar-e-zindagi tiri ulfat tera ghham tera khayal kuchh yahi hai karobar-e-zindagi apna dil hi jab paraya ho gaya kaun ho ab raz-dar-e-zindagi tere dam se thi baharon men bahar ab kahan hai vo bahar-e-zindagi sukhe patton se ye kahti hai khizan yuun utarta hai khumar-e-zindagi apne daman se hava dete raho bujh na jaae ye sharar-e-zindagi ai 'shafaq' kis ne bigada hai ise kaun hai parvardigar-e-zindagi rah gai lut kar bahaar-e-zindagi zindagi hai sogwar-e-zindagi meri nazron mein hasin dhoka hai ek jis ko kahte hain bahaar-e-zindagi kulfaten kuchh talkhiyan kuchh hadse ab yahi hai yaadgar-e-zindagi mit raha ho jo kisi ke ishq mein phir kahan us ko qarar-e-zindagi teri ulfat tera gham tera khayal kuchh yahi hai karobar-e-zindagi apna dil hi jab paraya ho gaya kaun ho ab raaz-dar-e-zindagi tere dam se thi bahaaron mein bahaar ab kahan hai wo bahaar-e-zindagi sukhe patton se ye kahti hai khizan yun utarta hai khumar-e-zindagi apne daman se hawa dete raho bujh na jae ye sharar-e-zindagi ai 'shafaq' kis ne bigada hai ise kaun hai parwardigar-e-zindagi

Related Ghazal

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to

Jaun Elia

355 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga

Hasan Abbasi

235 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Gopal Krishn Shafaq.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Gopal Krishn Shafaq's ghazal.