rakh-rakhav men koi khvar nahin hota yaar dost hote hain, har ik yaar nahin hota yaar do ghadi baitho mire paas, kaho kaisi ho do ghadi baithne se pyaar nahin hota yaar yaar! ye hijr ka ghham! is se to maut achchhi hai jaan se yuun hi koi bezar nahin hota yaar ruuh sunti hai mohabbat men badan bolte hain lafz pairaya-e-izhar nahin hota yaar naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren ik mohabbat hi ka azar nahin hota yaar khush-dili aur hai aur ishq ka azar kuchh aur pyaar ho jaae to iqrar nahin hota yaar ladkiyan lafz ki tasvir chhupa leti hain un ka izhar bhi izhar nahin hota yaar aadmi ishq men bhi khud se nahin ghat sakta aadmi saya-e-divar nahin hota yar!! gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan jaan kar koi giraftar nahin hota yaar yahi ham aap hain hasti ki kahani, is men koi afsanvi kirdar nahin hota yaar rakh-rakhaw mein koi khwar nahin hota yar dost hote hain, har ek yar nahin hota yar do ghadi baitho mere pas, kaho kaisi ho do ghadi baithne se pyar nahin hota yar yar! ye hijr ka gham! is se to maut achchhi hai jaan se yun hi koi bezar nahin hota yar ruh sunti hai mohabbat mein badan bolte hain lafz pairaya-e-izhaar nahin hota yar naukri, shairi, ghar-bar, zamana, qadren ek mohabbat hi ka aazar nahin hota yar khush-dili aur hai aur ishq ka aazar kuchh aur pyar ho jae to iqrar nahin hota yar ladkiyan lafz ki taswir chhupa leti hain un ka izhaar bhi izhaar nahin hota yar aadmi ishq mein bhi khud se nahin ghat sakta aadmi saya-e-diwar nahin hota yar!! gher leti hai koi zulf, koi bu-e-badan jaan kar koi giraftar nahin hota yar yahi hum aap hain hasti ki kahani, is mein koi afsanwi kirdar nahin hota yar
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
uske haathon men jo khanjar hai zyaada tez hai aur phir bachpan se hi uskaa nishaana tez hai jab kabhi us paar jaane ka khyaal aata mujhe koi aahista se kahtaa tha ki dariyaa tez hai aaj milnaa tha bichhad jaane ki niyat se ha men aaj bhi vo der se pahuncha hai kitna tez hai apna sab kuchh haar ke laut aaye ho na mere paas main tumhe kahtaa bhi rehta ki duniya tez hai aaj uske gaal choo men hain to andaaza hua chaai achchhii hai magar thoda sa meetha tez hai
Tehzeeb Hafi
220 likes
baad men mujh se na kehna ghar palatna theek hai vaise sunne men yahii aaya hai rastaa theek hai shaakh se patta gire baarish ruke baadal chatte main hi to sab kuchh galat karta hooñ achha theek hai jehan tak tasleem kar leta hai uski bartree aankh tak tasdeeq kar deti hai banda theek hai ek teri awaaz sunne ke li.e zinda hai ham tu hi jab KHaamosh ho jaa.e to phir kya theek hai
Tehzeeb Hafi
182 likes
bichadkar uskaa dil lag bhi gaya to kya lagega vo thak jayega aur mere gale se aa lagega main mushkil men tumhaare kaam aaun ya na aaun mujhe awaaz de lena tumhein achha lagega main jis koshish se us..ko bhool jaane men laga hooñ zyaada bhi agar lag jaaye to hafta lagega
Tehzeeb Hafi
174 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Iftikhar Mughal.
Similar Moods
More moods that pair well with Iftikhar Mughal's ghazal.







