ghazalKuch Alfaaz

ranj hai halat-e-safar hal-e-qayam ranj hai subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai said to kya ki said-kar khud bhi nahin ye janta daana bhi ranj hai yahan yaani ki daam ranj hai mani-e-javedan-e-jan kuchh bhi nahin magar ziyan saare kalim hain zubun saara kalam ranj hai baaba alif miri numud ranj hai aap ke ba-qaul kya mira naam bhi hai ranj haan tira naam ranj hai kaasa gadagari ka hai naf-piyala yaar ka bhuuk hai vo badan tamam vasl tamam ranj hai jiit ke koi aae tab haar ke koi aae tab jauhar-e-teghh sharm hai aur niyam ranj hai dil ne padha sabaq tamam buud to hai qalaq tamam haan mira naam ranj hai haan tira naam ranj hai paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumar laghhzish-e-gam ranj hai husn-e-khiram ranj hai baaba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai aan pe ho madar kya buud ke rozgar ka dam hama-dam hai duun ye dam vahm-e-davam ranj hai razm hai khuun ka hazar koi bahae ya bahe rustam o zaal hain malal yaani ki saam ranj hai ranj hai haalat-e-safar haal-e-qayam ranj hai subh-ba-subh ranj hai sham-ba-sham ranj hai us ki shamim-e-zulf ka kaise ho shukriya ada jab ki shamim ranj hai jab ki masham ranj hai said to kya ki said-kar khud bhi nahin ye jaanta dana bhi ranj hai yahan yani ki dam ranj hai mani-e-jawedan-e-jaan kuchh bhi nahin magar ziyan sare kalim hain zubun sara kalam ranj hai baba alif meri numud ranj hai aap ke ba-qaul kya mera nam bhi hai ranj han tera nam ranj hai kasa gadagari ka hai naf-piyala yar ka bhuk hai wo badan tamam wasl tamam ranj hai jit ke koi aae tab haar ke koi aae tab jauhar-e-tegh sharm hai aur niyam ranj hai dil ne padha sabaq tamam bud to hai qalaq tamam han mera nam ranj hai han tera nam ranj hai paik-e-qaza hai dam-ba-dam 'jaun' qadam qadam shumar laghzish-e-gam ranj hai husn-e-khiram ranj hai baba alif ne shab kaha nashsha-ba-nashsha kar gile jura-ba-jura ranj hai jam-ba-jam ranj hai aan pe ho madar kya bud ke rozgar ka dam hama-dam hai dun ye dam wahm-e-dawam ranj hai razm hai khun ka hazar koi bahae ya bahe rustam o zal hain malal yani ki sam ranj hai

Related Ghazal

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain

Ali Zaryoun

158 likes

ham ne kab chaaha ki vo shaKHs hamaara ho jaa.e itnaa dik jaa.e ki aankhoñ ka guzaara ho jaa.e ham jise paas bitha len vo bichhad jaata hai tum jise haath laga do vo tumhaara ho jaa.e tum ko lagta hai ki tum jeet ga.e ho mujh se hai yahii baat to phir khel dubara ho jaa.e hai mohabbat bhi ajab tarz-e-tijaarat ki yahaañ har dukaan-daar ye chahe ki khasaara ho jaa.e

Yasir Khan

92 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye

Khumar Barabankvi

95 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jaun Eliya.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jaun Eliya's ghazal.