ghazalKuch Alfaaz

roz murghha bana kare koi kab tak akhir pita kare koi jab kahin naukri nahin milti degreyan le ke kya kare koi mujh ko reading se sakht nafrat hai main sunun aur padha kare koi jis men aati ho bu ta'assub ki aisi tarikh kya kare koi jin men jang-o-jadal ke qisse hon vo kutub kyon padha kare koi ghhair-mulki zaban english ko khva-makhvah kyon rata kare koi nahin ummid-e-kamyabi jab imtihan de ke kya kare koi khuub insaf hai ki darje men main pitun aur khata kare koi kab tak akhir baghhair samjhe hue formule rata kare koi 'kaif' aata nahin javab-e-khuda khat kahan tak likha kare koi roz murgha bana kare koi kab tak aakhir pita kare koi jab kahin naukri nahin milti degreeyan le ke kya kare koi mujh ko reading se sakht nafrat hai main sunun aur padha kare koi jis mein aati ho bu ta'assub ki aisi tarikh kya kare koi jin mein jang-o-jadal ke qisse hon wo kutub kyon padha kare koi ghair-mulki zaban english ko khwa-makhwah kyon rata kare koi nahin ummid-e-kaamyabi jab imtihan de ke kya kare koi khub insaf hai ki darje mein main pitun aur khata kare koi kab tak aakhir baghair samjhe hue formule rata kare koi 'kaif' aata nahin jawab-e-khuda khat kahan tak likha kare koi

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Kaif Ahmed Siddiqui.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Kaif Ahmed Siddiqui's ghazal.