ghazalKuch Alfaaz

ruki hui hai abhi tak bahar ankhon men shab-e-visal ka jaise khumar ankhon men mita sakegi use gard-e-mah-o-sal kahan khinchi hui hai jo tasvir-e-yar ankhon men bas ek shab ki masafat thi aur ab tak hai mah o nujum ka saara ghhubar ankhon men hazar sahib-e-rakhsh-e-saba-mizaj aae basa hua hai vahi shah-savar ankhon men vo ek tha pa kiya us ko jab tah-e-talvar to bat gaya vahi chehra hazar ankhon men ruki hui hai abhi tak bahaar aankhon mein shab-e-visal ka jaise khumar aankhon mein mita sakegi use gard-e-mah-o-sal kahan khinchi hui hai jo taswir-e-yar aankhon mein bas ek shab ki masafat thi aur ab tak hai mah o nujum ka sara ghubar aankhon mein hazar sahib-e-rakhsh-e-saba-mizaj aae basa hua hai wahi shah-sawar aankhon mein wo ek tha pa kiya us ko jab tah-e-talwar to bat gaya wahi chehra hazar aankhon mein

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

More from Parveen Shakir

ab itni saadgi laayein kahaan se zameen ki KHair maange aasmaañ se agar chahein to vo deewaar kar den ha men ab kuchh nahin kehna zabaan se sitaara hi nahin jab saath deta to kashtii kaam le kya baadbaan se bhatkne se mile furqat to poochen pata manzil ka meer-e-kaarwaan se tavajjoh barq ki haasil rahi hai so hai azaad fikr-e-aashiyaan se hawa ko raaz-daan ham ne banaya aur ab naaraz KHushboo ke bayaañ se zaroori ho gaii hai dil ki zeenat makeen pahchaane jaate hain makaan se fana-fil-ishq hona chahte the magar furqat na thii kaar-e-jahaan se vagarna fasl-e-gul ki qadr kya thii badi hikmat hai waabasta khizaan se kisi ne baat ki thii hañs ke shaayad zamaane bhar se hain ham KHud gumaan se main ik ik teer pe KHud dhaal banti agar hota vo dushman ki kamaan se jo sabza dekh kar khe men lagaayein unhen takleef kyun pahunchen khizaan se jo apne ped jalte chhod jaayen unhen kya haq ki roothein baagbaan se

Parveen Shakir

0 likes

apni ruswaai tire naam ka charcha dekhooñ ik zaraa she'r kahooñ aur main kya kya dekhooñ neend aa jaa.e to kya mahfilein barpa dekhooñ aankh khul jaa.e to tanhaaii ka sehra dekhooñ shaam bhi ho gaii dhundla gaiin aañkhen bhi mirii bhoolne waale main kab tak tira rastaa dekhooñ ek ik kar ke mujhe chhod gaiin sab sakhiyaan aaj main KHud ko tiri yaad men tanhaa dekhooñ kaash sandal se mirii maang ujaale aa kar itne ghairoon men vahii haath jo apna dekhooñ tu mira kuchh nahin lagta hai magar jaan-e-hayaat jaane kyun tere li.e dil ko dhadakna dekhooñ band kar ke mirii aañkhen vo sharaarat se hanse bujhe jaane ka main har roz tamasha dekhooñ sab ziden us ki main poori karoon har baat sunoon ek bacche ki tarah se use hansta dekhooñ mujh pe chha jaa.e vo barsaat ki khushboo ki tarah ang ang apna isee rut men mahakta dekhooñ phool ki tarah mire jism ka har lab khul jaa.e pankhudi pankhudi un honton ka saaya dekhooñ main ne jis lamhe ko pooja hai use bas ik baar KHvaab ban kar tiri aankhoñ men utarta dekhooñ tu mirii tarah se yaktaa hai magar mire habeeb jee men aata hai koi aur bhi tujh sa dekhooñ toot jaayen ki pighal jaayen mire kacche ghade tujh ko main dekhooñ ki ye aag ka dariyaa dekhooñ

Parveen Shakir

2 likes

charaagh-e-raah bujha kya ki rehnuma bhi gaya hawa ke saath musaafir ka naqsh-e-paa bhi gaya main phool chuntee rahi aur mujhe khabar na hui vo shaKHs aa ke mire shahar se chala bhi gaya bahut aziz sahi us ko mirii dildaari magar ye hai ki kabhi dil mira dukha bhi gaya ab un dareechon pe gehre dabeez parde hain vo taank-jhaank ka ma'soom silsila bhi gaya sab aa.e mirii ayaadat ko vo bhi aaya tha jo sab ga.e to mira dard-aashna bhi gaya ye gurbaten mirii aankhoñ men kaisi utri hain ki KHvaab bhi mire ruksat hain ratjaga bhi gaya

Parveen Shakir

3 likes

taraash kar mere baazu udaan chhod gaya hawa ke paas barhana kamaan chhod gaya rafaqaton ka meri us ko dhyaan kitna tha zameen le li magar aasmaan chhod gaya ajeeb shaKHs tha baarish ka rang dekh ke bhi khule dariche pe ik phool-daana chhod gaya jo baadlon se bhi mujh ko chhu paa.e rakhta tha badhi hai dhoop to be-saayebaan chhod gaya nikal gaya kahii an-dekhe paaniyon ki taraf zameen ke naam khula baadbaan chhod gaya uqaab ko thii garz faakhta pakadne se jo gir gaii to yoonhi neem-jaan chhod gaya na jaane kaun sa aaseb dil men basta hai ki jo bhi thehra vo aaKHir makaan chhod gaya aqab men gahra samundar hai saamne jungle kis intiha pe meraa mehrbaan chhod gaya

Parveen Shakir

5 likes

ab bhala chhod ke ghar kya karte shaam ke vaqt safar kya karte teri masroofiyaten jaante hain apne aane ki khabar kya karte jab sitaare hi nahin mil paa.e le ke ham shams-o-qamar kya karte vo musaafir hi khulii dhoop ka tha saa.e faila ke shajar kya karte KHaak hi awwal o aaKHir thehri kar ke zarre ko guhar kya karte raay pahle se banaa li tu ne dil men ab ham tire ghar kya karte ishq ne saare saleeqe bakshe husn se kasb-e-hunar kya karte

Parveen Shakir

1 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Parveen Shakir.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Parveen Shakir's ghazal.