rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae jab jaam diya tha saaqi ne jab daur chala tha mahfil men ik hosh ki saaat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae ab vaqt ke nazuk honton par majruh tarannum raqsan hai bedad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae ehsas ke mai-khane men kahan ab fikr-o-nazar ki qindilen alam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae kuchh haal ke andhe sathi the kuchh maazi ke ayyar sajan ahbab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae kanton se bhara hai daman-e-dil shabnam se sulagti hain palken phulon ki sakhavat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae ab apni haqiqat bhi 'saghhar' be-rabt kahani lagti hai duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhuul gae rudad-e-mohabbat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae do din ki masarrat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae jab jam diya tha saqi ne jab daur chala tha mahfil mein ek hosh ki saat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae ab waqt ke nazuk honton par majruh tarannum raqsan hai bedad-e-mashiyyat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae ehsas ke mai-khane mein kahan ab fikr-o-nazar ki qindilen aalam ki shiddat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae kuchh haal ke andhe sathi the kuchh mazi ke ayyar sajan ahbab ki chahat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae kanton se bhara hai daman-e-dil shabnam se sulagti hain palken phulon ki sakhawat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae ab apni haqiqat bhi 'saghar' be-rabt kahani lagti hai duniya ki haqiqat kya kahiye kuchh yaad rahi kuchh bhul gae
Related Ghazal
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
yaad tab karte ho karne ko na ho jab kuchh bhi aur kahte ho tumhein ishq hai matlab kuchh bhi ab jo aa aa ke bataate ho vo shaKHs aisa tha jab mere saath tha vo kyun na kaha tab kuchh bhi waqfe-waqfe se mujhe dekhne aate rahna hijr ki shab hai so ho saka hai is shab kuchh bhi
Umair Najmi
68 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere khilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua
Tehzeeb Hafi
77 likes
More from Saghar Siddiqui
main talkhi-e-hayaat se ghabra ke pee gaya gham ki siyaah raat se ghabra ke pee gaya itni daqeeq shay koi kaise samajh sake yazdaan ke waqiaat se ghabra ke pee gaya chalke hue the jaam pareshaan thii zulf-e-yaar kuchh aise haadsaat se ghabra ke pee gaya main aadmi hooñ koi farishta nahin huzoor main aaj apni zaat se ghabra ke pee gaya duniya-e-haadsaat hai ik dardnaak geet duniya-e-haadsaat se ghabra ke pee gaya kaañte to KHair kaañte hain is ka gilaa hi kya phoolon ki waardaat se ghabra ke pee gaya saaghar vo kah rahe the ki pee leejie huzoor un ki guzaarishaat se ghabra ke pee gaya
Saghar Siddiqui
3 likes
ai dil-e-be-qaraar chup ho ja ja chuki hai bahaar chup ho ja ab na aayenge roothne waale deeda-e-ashk-baar chup ho ja ja chuka kaarvaan-lala-o-gul ud raha hai ghubaar chup ho ja chhoot jaati hai phool se khushboo rooth jaate hain yaar chup ho ja ham faqeeron ka is zamaane men kaun hai gham-gusaar chup ho ja haadson ki na aankh khul jaa.e hasrat-e-sogvaar chup ho ja geet ki zarb se bhi ai saaghar toot jaate hain taar chup ho ja
Saghar Siddiqui
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Saghar Siddiqui.
Similar Moods
More moods that pair well with Saghar Siddiqui's ghazal.







