saz-e-furqat pe ghhazal gaao ki kuchh raat kate pyaar ki rasm ko chamkao ki kuchh raat kate jab ye tai hai ki ghham-e-ishq bahut kaafi hai ghham ka mafhum hi samjhao ki kuchh raat kate subh ke saath hi ham khud bhi bikhar jaenge do-ghadi aur thahar jaao ki kuchh raat kate daman-e-dard pe bikhre hue aansu ki tarah meri palkon pe bhi lahrao ki kuchh raat kate zikr-e-gulzar sahi qissa-e-dil-dar sahi zakhm ke phuul hi mahkao ki kuchh raat kate ek ek dard ke siine men utar kar dekho ek ek saans men lahrao ki kuchh raat kate dil ki vaadi men hai tarik ghataon ka hujum chandni ban ke nikhar jaao ki kuchh raat kate qatil-e-shahr se bach kar main abhi aaya huun main akela huun chale aao ki kuchh raat kate farsh kirnon ka bichha degi sahar aa ke 'rais' dil ke zakhmon ko bhi chamkao ki kuchh raat kate saz-e-furqat pe ghazal gao ki kuchh raat kate pyar ki rasm ko chamkao ki kuchh raat kate jab ye tai hai ki gham-e-ishq bahut kafi hai gham ka mafhum hi samjhao ki kuchh raat kate subh ke sath hi hum khud bhi bikhar jaenge do-ghadi aur thahar jao ki kuchh raat kate daman-e-dard pe bikhre hue aansu ki tarah meri palkon pe bhi lahrao ki kuchh raat kate zikr-e-gulzar sahi qissa-e-dil-dar sahi zakhm ke phul hi mahkao ki kuchh raat kate ek ek dard ke sine mein utar kar dekho ek ek sans mein lahrao ki kuchh raat kate dil ki wadi mein hai tarik ghataon ka hujum chandni ban ke nikhar jao ki kuchh raat kate qatil-e-shahr se bach kar main abhi aaya hun main akela hun chale aao ki kuchh raat kate farsh kirnon ka bichha degi sahar aa ke 'rais' dil ke zakhmon ko bhi chamkao ki kuchh raat kate
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf
Varun Anand
406 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
teri mushkil na badaaunga chala jaaunga ashk aankhoñ men chhupaaunga chala jaaunga apni dahleez pe kuchh der pada rahne de jaise hi hosh men aaunga chala jaaunga KHvaab lene koi aa.e ki na aa.e koi main to awaaz lagaauñga chala jaaunga chand yaaden mujhe bacchon ki tarah pyaari hain unko seene se lagaauñga chala jaaunga muddaton baad main aaya hooñ purane ghar men KHud ko jee bhar ke rulaaunga chala jaaunga is jazeera men ziyaada nahin rahna ab to aajkal naav banaoonga chala jaaunga mausam-e-gul ki tarah laut ke aaunga hasan har taraf phool khilaaoonga chala jaaunga
Hasan Abbasi
235 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Raees Akhtar.
Similar Moods
More moods that pair well with Raees Akhtar's ghazal.







