saaz taiyaar kar raha hooñ main aur khabardaar kar raha hooñ main tumko shaayad bura lage lekin dekh ke pyaar kar raha hooñ main haan nahin chahiye ye taaj aur takht saaf inkaar kar raha hooñ main koi jaakar use bataa to de jiska kirdaar kar raha hooñ main aaj se KHud ko teri haalat se dastbardaar kar raha hooñ main do jahaan mujh...ko mil rahe hain magar tujh par israar kar raha hooñ main
Related Ghazal
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
seena dahak raha ho to kya chup rahe koi kyun cheekh cheekh kar na gala chheel le koi saabit hua sukoon-e-dil-o-jaan kahii nahin rishton men dhoondhta hai to dhoonda kare koi tark-e-taalluqaat koi mas'ala nahin ye to vo raasta hai ki bas chal pade koi deewaar jaanta tha jise main vo dhool thii ab mujh ko e'timaad ki daawat na de koi main KHud ye chahta hooñ ki haalaat hooñ KHaraab mere KHilaaf zahar ugalta phire koi ai shaKHs ab to mujh ko s abhii kuchh qubool hai ye bhi qubool hai ki tujhe cheen le koi haan theek hai main apni ana ka mareez hooñ aaKHir mere mizaaj men kyun dakhl de koi ik shaKHs kar raha hai abhii tak vafaa ka zikr kaash us zabaan-daraaz ka munh noch le koi
Jaun Elia
77 likes
ek aur shaKHs chhodkar chala gaya to kya hua hamaare saath kaun sa ye pahli martaba hua azl se in hateliyon men hijr ki lakeer thii tumhaara dukh to jaise mere haath men badaa hua mere KHilaaf dushmanon ki saf men hai vo aur main bahut bura lagunga us par teer kheenchta hua
Tehzeeb Hafi
183 likes
mere dil men ye tere siva kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai ham mohabbat men haare hue log hain aur mohabbat men jeeta hua kaun hai mere pahluu se uth ke gaya kaun hai tu nahin hai to teri jagah kaun hai tune jaate hue ye bataaya nahin main teraa kaun hooñ tu meraa kaun hai
Tehzeeb Hafi
145 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
More from Ali Zaryoun
haalat e hijr men hooñ yaar meri samt na dekh tu na ho jaa.e girftaar meri samt na dekh aasteen men jo chhupe saanp hain unko to nikaal apne nuksaan par har baar meri samt na dekh tujhko jis baat ka khadsha hai vo ho sakti hai aise nashshe men lagaataar meri samt na dekh ya koi baat suna ya mujhe seene se laga is tarah baithkar bekar meri samt na dekh teraa yaaron se nahin jeb se yaaraana hai ai mohabbat ke dukandaar meri samt na dekh
Ali Zaryoun
7 likes
ada-e-ishq hooñ poori ana ke saath hooñ main KHud apne saath hooñ ya'ni KHuda ke saath hooñ main mujavaraan-e-hawas tang hain ki yuñ kaise baghair sharm-o-haya bhi haya ke saath hooñ main safar shuruat to hone de apne saath mira tu KHud kahega ye kaisi bala ke saath hooñ main main choo gaya to tira rang kaat daaloonga so apne aap se tujh ko bacha ke saath hooñ main durood-bar-dil-e-wahshi salaam-bar-tap-e-ishq KHud apni hamd KHud apni sana ke saath hooñ main yahii to farq hai mere aur un ke hal ke beech shikaayaten hain unhen aur raza ke saath hooñ main main awwaleen ki izzat men aakhireen ka noor vo intiha hooñ ki har ibtida ke saath hooñ main dikhaai doon bhi to kaise sunaai doon bhi to kyun wara-e-naqsh-o-nawa hooñ fana ke saath hooñ main b-hukm-e-yaar love kabz karne aati hai bujha rahi hai bujaaye hawa ke saath hooñ main ye saabireen-e-mohabbat ye kaashifeen-e-junoon inhi ke sang inheen auliya ke saath hooñ main kisi ke saath nahin hooñ magar jamaal-e-ilaaha tiri qism tire har mubtala ke saath hooñ main zamaane bhar ko pata hai main kis tariq pe hooñ sabhi ko ilm hai kis dil-ruba ke saath hooñ main munaafiqeen-e-tasavvuf ki maut hooñ main ali har ik aseel har ik be-riya ke saath hooñ main
Ali Zaryoun
5 likes
vo hi kartaba teri yaad ka vo hi nai nava e khayaal hai vo hi main jo tha tere hijr men vo hi mashhad e khud-o-khaal hai teri neend kis ke li.e udii meraa khvaab kis ne bujha diya ise sun kar rookh nahin pherna tere maatami ka sawaal hai ye mazaq to nahin ho raha main khushi se to nahin ro raha koii film to nahin chal rahi meri jaan ye meraa haal hai kisi saiyada ke charan padhoon koii kaazmi jo duaa kare koii ho jo gham kii haya kare meraa karbalaai malaal hai vo charaagh e shahar e vifaq hai mere saath jis ka firaq hai bhale door paar se hi sahi meraa raabta to bahaal hai vo khushi se itni nihaal thii ki ali main soch kar dar gayaa main use bataa hi nahin sakaa ki ye meri aakhiri call hai
Ali Zaryoun
3 likes
chup-chaap kyuuñ phiro ho koii baat to karo hal bhi nikaalte hain mulaqaat to karo khaali hawa men udna fakeeri nahin miyaan dil jod ke dikhaao karaamaat to karo
Ali Zaryoun
15 likes
toor-e-seena hai sar karoge miyaan apne andar safar karoge miyaan tum ha men roz yaad karte ho phir to tum umr bhar karoge miyaan vo jo ik lafz mar gaya hai us..ko kiski khabar karoge miyaan aur dil-e-darvesh ek madeena hai tum madine men sair karoge miyaan
Ali Zaryoun
6 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ali Zaryoun.
Similar Moods
More moods that pair well with Ali Zaryoun's ghazal.







