ghazalKuch Alfaaz

sab ke hisse men kai baar hai bat kar dekha kuchh na hasil hua manzar se bhi hat kar dekha duur be-kar sa mubham sa nazar aata huun aaine se bhi bahar-taur chimat kar dekha hai musalsal mire sar dhuup kisi sahra si laakh divaron ke saae se lipat kar dekha farq hone se na hone se mire kuchh bhi nahin bar-ha ham ne kahani men simat kar dekha kitni hasrat thi ki anjam badal jaega varaq akhir ka kai baar palat kar dekha phir yahi hota hai rah jaata huun tanha main hi vaqt ke saaz ko har lai ko ulat kar dekha jitni shiddat se mire khvab ko toda gaya hai utni shiddat se vahi khvab hai dat kar dekha jo parakh sakti hamen aankh mayassar na hui apni qimat se bhi 'abrak' ne to ghat kar dekha sab ke hisse mein kai bar hai bat kar dekha kuchh na hasil hua manzar se bhi hat kar dekha dur be-kar sa mubham sa nazar aata hun aaine se bhi bahar-taur chimat kar dekha hai musalsal mere sar dhup kisi sahra si lakh diwaron ke sae se lipat kar dekha farq hone se na hone se mere kuchh bhi nahin bar-ha hum ne kahani mein simat kar dekha kitni hasrat thi ki anjam badal jaega waraq aakhir ka kai bar palat kar dekha phir yahi hota hai rah jata hun tanha main hi waqt ke saz ko har lai ko ulat kar dekha jitni shiddat se mere khwab ko toda gaya hai utni shiddat se wahi khwab hai dat kar dekha jo parakh sakti hamein aankh mayassar na hui apni qimat se bhi 'abrak' ne to ghat kar dekha

Related Ghazal

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Atbaf Abrak.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Atbaf Abrak's ghazal.