sab ko rusva baari baari kiya karo har mausam men fatwe jaarii kiya karo raaton ka neendon se rishta toot chuka apne ghar ki pahre-daari kiya karo qatra qatra shabnam gin kar kya hogaa daryaon ki daave-daari kiya karo roz qaside likkho goonge behron ke furqat ho to ye begaari kiya karo shab bhar aane waale din ke KHvaab buno din bhar fikr-e-shab-bedaari kiya karo chaand ziyaada raushan hai to rahne do jugnoo-bhayya jee mat bhari kiya karo jab jee chahe maut bichha do bastii men lekin baatein pyaari pyaari kiya karo raat badan-dariya men roz utarti hai is kashtii men khoob sawaari kiya karo roz vahii ik koshish zinda rahne ki marne ki bhi kuchh tayyaari kiya karo KHvaab lapete sote rahna theek nahin furqat ho to shab-bedaari kiya karo kaaghaz ko sab saunp diya ye theek nahin she'r kabhi KHud par bhi taari kiya karo
Related Ghazal
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Rahat Indori
faisley lamhaat ke naslon pe bhari ho ga.e baap haakim tha magar bete bhikaari ho ga.e deviyaan puhunchiin theen apne baal bikhraaye hue devta mandir se nikle aur pu jaarii ho ga.e raushni ki jang men taariqiyaan paida hui chaand paagal ho gaya taare bhikaari ho ga.e rakh diye jaayenge neze lafz aur honton ke beech zill-e-subhaani ke ahkaamaat jaarii ho ga.e narm-o-naazuk halke-phulke rooi jaise KHvaab the aañsuon men bheegne ke baa'd bhari ho ga.e
Rahat Indori
2 likes
shajar hain ab samar-aasaar mere chale aate hain daavedaar mere muhaajir hain na ab ansaar mere mukhalif hain bahut is baar mere yahaañ ik boond ka muhtaaj hooñ main samundar hain samundar paar mere abhii murdon men roohen phoonk daalen agar chahein to ye beemaar mere hawaaein odh kar soya tha dushman ga.e bekar saare vaar mere main aa kar dushmanon men bas gaya hooñ yahaañ hamdard hain do-chaar mere hañsi men taal dena tha mujhe bhi KHataa kyun ho ga.e sarkaar mere tasavvur men na jaane kaun aaya mahak utthe dar-o-deewar mere tumhaara naam duniya jaanti hai bahut rusva hain ab ashaar mere bhanwar men ruk gaii hai naav meri kinaare rah ga.e is paar mere main KHud apni hifazat kar raha hooñ abhii soye hain pahre-daar mere
Rahat Indori
4 likes
ye khaak-zaade jo rahte hain be-zabaan pade ishaara kar den to suraj zameen pe aan pade sukoot-e-zeest ko aamaada-e-baghaavat kar lahu uchaal ki kuchh zindagi men jaan pade hamaare shahar ki beenaaiyon pe rote hain tamaam shahar ke manzar lahu-luhaan pade uthe hain haath mire hurmat-e-zameen ke li.e mazaa jab aa.e ki ab paanv aasmaan pade kisi makin ki aamad ke intizaar men hain mire mohalle men khaali kaii makaan pade
Rahat Indori
7 likes
na hum-safar na kisi hum-nasheen se niklega hamaare paanv ka kaanta humeen se niklega main jaanta tha ki zahreela saanp ban ban kar tira khuloos mirii aasteen se niklega isee gali men vo bhooka faqeer rehta tha talash kijeye khazana yahiin se niklega buzurg kahte the ik vaqt aayega jis din jahaan pe doobega suraj wahin se niklega guzishta saal ke zakhamo hare-bhare rahna juloos ab ke baras bhi yahiin se niklega
Rahat Indori
2 likes
yuñ sadaa dete hue tere khayal aate hain jaise ka'be ki khulii chat pe bilaal aate hain roz ham ashkon se dho aate hain deewar-e-haram pagadiyaan roz farishton ki uchaal aate hain haath abhii peeche bandhe rahte hain chup rahte hain dekhna ye hai tujhe kitne kamaal aate hain chaand suraj mirii chaukhat pe kaii sadiyon se roz likkhe hue chehre pe sawaal aate hain be-hisi murda-dili raqs sharaaben nag men bas isee raah se qaumon pe zawaal aate hain
Rahat Indori
3 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rahat Indori.
Similar Moods
More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.







