sabhi ka dhoop se bachne ko sar nahin hota har aadmi ke muqaddar men ghar nahin hota kabhi lahu se bhi taarikh likhni padti hai har ek ma'arka baaton se sar nahin hota main us ki aankh ka aañsu na ban sakaa warna mujhe bhi KHaak men milne ka dar nahin hota mujhe talash karoge to phir na paoge main ik sadaa hooñ sadaaon ka ghar nahin hota hamaari aankh ke aañsu ki apni duniya hai kisi faqeer ko shahon ka dar nahin hota main us makaan men rehta hooñ aur zinda hooñ waseem jis men hawa ka guzar nahin hota
Related Ghazal
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
tere peeche hogii duniya paagal ban kya bola maine kuchh samjha paagal ban sehra men bhi Dhoondh le dariyaa paagal ban varna mar jaayega pyaasa paagal ban aadha daana aadha paagal nain nain nain us..ko paana hai to poora paagal ban danaai dikhlane se kuchh haasil nahin paagal khaana hai ye duniya paagal ban dekhen tujhko log to paagal ho jaayen itnaa umdaa itnaa aalaa paagal ban logon se dar lagta hai to ghar men baith jigra hai to mere jaisa paagal ban
Varun Anand
81 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
jo tere saath rahte hue sogwaar ho laanat ho aise shaKHs pe aur beshumaar ho ab itni der bhi na laga ye ho na kahii tu aa chuka ho aur teraa intezar ho main phool hooñ to phir tere baalo men kyuuñ nahin hooñ tu teer hai to mere kaleje ke paar ho ek aasteen chadhaane ki aadat ko chhod kar haafi tum aadmi to bahut shaandaar ho
Tehzeeb Hafi
268 likes
kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin
Tehzeeb Hafi
105 likes
More from Waseem Barelvi
tahreer se warna mirii kya ho nahin saka ik tu hai jo lafzon men ada ho nahin saka aankhoñ men khayaalaat men saanson men basa hai chahe bhi to mujh se vo juda ho nahin saka jeena hai to ye jabr bhi sahna hi padega qatra hooñ samundar se KHafaa ho nahin saka gumraah ki.e honge kaii phool se jazbe aise to koi raah-numa ho nahin saka qad meraa badhaane ka use kaam mila hai jo apne hi pairo'n pe khada ho nahin saka ai pyaar tire hisse men aaya tiri qismat vo dard jo chehron se ada ho nahin saka
Waseem Barelvi
1 likes
kya bataaun kaisa KHud ko dar-b-dar main ne kiya umr-bhar kis kis ke hisse ka safar main ne kiya tu to nafrat bhi na kar paayega is shiddat ke saath jis bala ka pyaar tujh se be-KHabar main ne kiya kaise bacchon ko bataaun raaston ke pech-o-kham zindagi-bhar to kitaabon ka safar main ne kiya kis ko furqat thii ki batlaata tujhe itni si baat KHud se kya bartaav tujh se chhoot kar main ne kiya chand jazbaati se rishton ke bachaane ko waseem kaisa kaisa jabr apne aap par main ne kiya
Waseem Barelvi
5 likes
bhala ghamon se kahaan haar jaane waale the ham aañsuon kii tarah muskuraane waale the humeen ne kar diya ailaan-e-gumrahi warna hamaare peechhe bahut log aane waale the unhen to KHaak men milnaa hi tha ki mere the ye ashk kaun se unche gharaane waale the unhen qareeb na hone diya kabhi main ne jo dosti men hadein bhool jaane waale the main jin ko jaan ke pahchaan bhi nahin saktaa kuchh aise log mira ghar jalane waale the hamaara almeya ye tha ki hum-safar bhi ha men vahii mile jo bahut yaad aane waale the waseem kaisi taalluq kii raah thii jis men vahii mile jo bahut dil dukhaane waale the
Waseem Barelvi
5 likes
apne saa.e ko itnaa samjhaane de mujh tak mere hisse ki dhoop aane de ek nazar men kaii zamaane dekhe to boodhi aankhoñ ki tasveer banaane de baba duniya jeet ke main dikhla dooñga apni nazar se door to mujh ko jaane de main bhi to is baagh ka ek parinda hooñ meri hi awaaz men mujh ko gaane de phir to ye ooncha hi hota jaayega bachpan ke haathon men chaand aa jaane de faslen pak jaayen to khet se bichhdenge roti aankh ko pyaar kahaan samjhaane de
Waseem Barelvi
7 likes
nahin ki apna zamaana bhi to nahin aaya ha men kisi se nibhaana bhi to nahin aaya jala ke rakh liya haathon ke saath daaman tak tumhein charaaghh bujhaana bhi to nahin aaya naye makaan banaaye to faaslon ki tarah ha men ye shahar basaana bhi to nahin aaya vo poochta tha mirii aankh bheegne ka sabab mujhe bahaana banaana bhi to nahin aaya waseem dekhna mud mud ke vo usii ki taraf kisi ko chhod ke jaana bhi to nahin aaya
Waseem Barelvi
4 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Waseem Barelvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Waseem Barelvi's ghazal.







