sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai ab aisi surat men kis se puchhen ye kya bana hai ye kya hua hai kuchh is tarah se kabhi hua tha sukut-e-dar-o-rasan ka aalam na koi divana sar-ba-kaf hai na koi vahshi data hua hai maraz ye kya hai ki jis ke dar se tamam duniya laraz rahi hai ye kya vaba hai ki jis ke aage har ek ka sar jhuka hua hai vo asmanon pe jaane vaale vo chand se mitti laane vaale na jaane ab vo kahan gae hain har ek ghar men chhupa hua hai vo sab missile ye saare atom bas ik corona ki maar nikle ab aise aalam men dekh len sab ki chiin kaise data hua hai ye vaizon ke tamam khutbe hamari mushkil ka hal nahin hain ab is ko khud ham hi hal karenge ye masala jo bana hua hai na koi bhi ham pe pahra-zan hai ki ham kahin aaen aur na jaaen har ek insan apne ghar men khud apna qaidi bana hua hai koi bada ho ki ya ho chhota koi gada ho ki badshah ho is ibtila ka kamal ye hai ki sab ko yaksan kiya hua hai sivae khamosh chand taron ke in khalaon men kuchh nahin hai ye zindagi ki hi raunaqen hain ki jin se mela saja hua hai ye kya ghhazab hai ki muddaton se khizan hi gulshan men khema-zan hai jo mausam-e-gul ka karvan tha vo karvan kyon ruka hua hai hamara zauq-e-sukhan hai jaari ise kisi shai ka dar nahin hai na husn ham se alag hua hai na ishq ham se juda hua hai khuda to un se khafa hai 'aslam' jo us ke qanun todte hain vagarna ham aise be-bason se khuda bhala kab khafa hua hai sabhi yahan hain darida-daman sabhi ka ab haal ek sa hai ab aisi surat mein kis se puchhen ye kya bana hai ye kya hua hai kuchh is tarah se kabhi hua tha sukut-e-dar-o-rasan ka aalam na koi diwana sar-ba-kaf hai na koi wahshi data hua hai maraz ye kya hai ki jis ke dar se tamam duniya laraz rahi hai ye kya waba hai ki jis ke aage har ek ka sar jhuka hua hai wo aasmanon pe jaane wale wo chand se mitti lane wale na jaane ab wo kahan gae hain har ek ghar mein chhupa hua hai wo sab missile ye sare atom bas ek corona ki mar nikle ab aise aalam mein dekh len sab ki chin kaise data hua hai ye waizon ke tamam khutbe hamari mushkil ka hal nahin hain ab is ko khud hum hi hal karenge ye masala jo bana hua hai na koi bhi hum pe pahra-zan hai ki hum kahin aaen aur na jaen har ek insan apne ghar mein khud apna qaidi bana hua hai koi bada ho ki ya ho chhota koi gada ho ki baadshah ho is ibtila ka kamal ye hai ki sab ko yaksan kiya hua hai siwae khamosh chand taron ke in khalaon mein kuchh nahin hai ye zindagi ki hi raunaqen hain ki jin se mela saja hua hai ye kya ghazab hai ki muddaton se khizan hi gulshan mein khema-zan hai jo mausam-e-gul ka karwan tha wo karwan kyon ruka hua hai hamara zauq-e-sukhan hai jari ise kisi shai ka dar nahin hai na husn hum se alag hua hai na ishq hum se juda hua hai khuda to un se khafa hai 'aslam' jo us ke qanun todte hain wagarna hum aise be-bason se khuda bhala kab khafa hua hai
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
paagal kaise ho jaate hain dekho aise ho jaate hain KHvaabon ka dhanda karti ho kitne paise ho jaate hain duniya sa hona mushkil hai tere jaise ho jaate hain mere kaam KHuda karta hai tere vaise ho jaate hain
Ali Zaryoun
158 likes
ik pal men ik sadi ka mazaa ham se poochiye do din ki zindagi ka mazaa ham se poochiye bhule hain rafta rafta unhen muddaton men ham qiston men khudkushi ka mazaa ham se poochiye aagaz-e-aashiqi ka mazaa aap jaaniye anjaam-e-aashiqi ka mazaa ham se poochiye jalte diyon men jalte gharo jaisi zau kahaan sarkaar raushni ka mazaa ham se poochiye vo jaan hi ga.e ki ha men unse pyaar hai aankhoñ ki mukhbirii ka mazaa hamse poochiye hansne ka shauq hamko bhi tha aap ki tarah hansiye magar hañsi ka mazaa ham se poochiye ham tauba kar ke mar ga.e be-maut ai khumaar tauheen-e-may-kashi ka mazaa ham se poochiye
Khumar Barabankvi
95 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Aslam Gurdaspuri.
Similar Moods
More moods that pair well with Aslam Gurdaspuri's ghazal.







