safar-e-manzil-e-shab yaad nahin log rukhsat hue kab yaad nahin avvalin qurb ki sarshari men kitne arman the jo ab yaad nahin dil men har vaqt chubhan rahti thi thi mujhe kis ki talab yaad nahin vo sitara thi ki shabnam thi ki phuul ek surat thi ajab yaad nahin kaisi viran hai guzar-gah-e-khayal jab se vo aariz o lab yaad nahin bhulte jaate hain maazi ke dayar yaad aaen bhi to sab yaad nahin aisa uljha huun ghham-e-duniya men ek bhi khvab-e-tarab yaad nahin rishta-e-jan tha kabhi jis ka khayal us ki surat bhi to ab yaad nahin ye haqiqat hai ki ahbab ko ham yaad hi kab the jo ab yaad nahin yaad hai sair-e-charaghhan 'nasir' dil ke bujhne ka sabab yaad nahin safar-e-manzil-e-shab yaad nahin log rukhsat hue kab yaad nahin awwalin qurb ki sarshaari mein kitne arman the jo ab yaad nahin dil mein har waqt chubhan rahti thi thi mujhe kis ki talab yaad nahin wo sitara thi ki shabnam thi ki phul ek surat thi ajab yaad nahin kaisi viran hai guzar-gah-e-khayal jab se wo aariz o lab yaad nahin bhulte jate hain mazi ke dayar yaad aaen bhi to sab yaad nahin aisa uljha hun gham-e-duniya mein ek bhi khwab-e-tarab yaad nahin rishta-e-jaan tha kabhi jis ka khayal us ki surat bhi to ab yaad nahin ye haqiqat hai ki ahbab ko hum yaad hi kab the jo ab yaad nahin yaad hai sair-e-charaghan 'nasir' dil ke bujhne ka sabab yaad nahin
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai
Shabeena Adeeb
232 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai
Waseem Barelvi
107 likes
More from Nasir Kazmi
dil men aur to kya rakha hai teraa dard chhupa rakha hai itne dukhon ki tez hawa men dil ka deep jala rakha hai dhoop se chehron ne duniya men kya andher macha rakha hai is nagri ke kuchh logon ne dukh ka naam davaa rakha hai waada-e-yaar ki baat na chhedo ye dhoka bhi kha rakha hai bhool bhi jaao beetii baatein in baaton men kya rakha hai chup chup kyun rahte ho naasir ye kya rog laga rakha hai
Nasir Kazmi
11 likes
musalsal bekli dil ko rahi hai magar jeene ki soorat to rahi hai main kyun firta hooñ tanhaa maara maara ye bastii chain se kyun so rahi hai chale dil se ummeedon ke musaafir ye nagri aaj khaali ho rahi hai na samjho tum ise shor-e-bahaaraan khizaan patton men chhup kar ro rahi hai hamaare ghar ki deewaron pe naasir udaasi baal khole so rahi hai
Nasir Kazmi
2 likes
jab zaraa tez hawa hoti hai kaisi sunsaan fazaa hoti hai ham ne dekhe hain vo sannaate bhi jab har ik saans sadaa hoti hai dil ka ye haal hua tere baad jaise veeraan sara hoti hai rona aata hai ha men bhi lekin is men tauheen-e-wafa hoti hai munh-andhere kabhi uth kar dekho kya tar o taaza hawa hoti hai ajnabi dhyaan ki har mauj ke saath kis qadar tez hawa hoti hai gham ke be-noor guzargaahon men ik kiran zauq-faza hoti hai gham-gusaar-e-safar-e-raah-e-wafa miza-e-aabla-pa hoti hai gulshan-e-fikr ki munh-band kali shab-e-mehtaab men vaa hoti hai jab nikalti hai nigaar-e-shab-e-gul munh pe shabnam ki rida hoti hai haadsa hai ki khizaan se pahle boo-e-gul gul se juda hoti hai ik naya daur janam leta hai ek tahzeeb fana hoti hai jab koi gham nahin hota naasir bekli dil ki siva hoti hai
Nasir Kazmi
2 likes
gali gali mirii yaad bichi hai pyaare rastaa dekh ke chal mujh se itni vehshat hai to mirii hadon se door nikal ek samay tira phool sa naazuk haath tha mire shaanon par ek ye vaqt ki main tanhaa aur dukh ke kaanton ka jungle yaad hai ab tak tujh se bichhadne ki vo andheri shaam mujhe tu KHaamosh khada tha lekin baatein karta tha kaajal main to ek nayi duniya ki dhun men bhatkata firta hooñ mirii tujh se kaise nibhegi ek hain tere fikr o amal meraa munh kya dekh raha hai dekh is kaali raat ko dekh main vahii teraa hamraahi hooñ saath mire chalna ho to chal
Nasir Kazmi
4 likes
shahar sunsaan hai kidhar jaayein KHaak ho kar kahii bikhar jaayein raat kitnii guzar gaii lekin itni himmat nahin ki ghar jaayein yoon tire dhyaan se larzata hooñ jaise patte hawa se dar jaayein un ujaalon ki dhun men firta hooñ chhab dikhaate hi jo guzar jaayein rain andheri hai aur kinaara door chaand nikle to paar utar jaayein
Nasir Kazmi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Nasir Kazmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Nasir Kazmi's ghazal.







