sang-e-be-qimat tarasha aur jauhar kar diya sham-e-ilm-o-agahi se dil munavvar kar daya fikr-o-fan tahzib-o-hikmat di shuur-o-agahi gum-shudan-e-rah ko goya ki rahbar kar daya chashm-e-faiz aur dast vo paras-sifat jab chhu gae mujh ko mitti se uthaya aur falak par kar diya de jaza allah tu is baghhban-e-ilm ko jis ne ghhunchon ko khilaya aur gul-e-tar kar diya khaka-e-tasvir tha main khali-az-rang-e-hayat yuun sajaya aap ne mujh ko ki 'qaisar' kar diya sang-e-be-qimat tarasha aur jauhar kar diya sham-e-ilm-o-agahi se dil munawwar kar daya fikr-o-fan tahzib-o-hikmat di shuur-o-agahi gum-shudan-e-rah ko goya ki rahbar kar daya chashm-e-faiz aur dast wo paras-sifat jab chhu gae mujh ko mitti se uthaya aur falak par kar diya de jaza allah tu is baghban-e-ilm ko jis ne ghunchon ko khilaya aur gul-e-tar kar diya khaka-e-taswir tha main khali-az-rang-e-hayat yun sajaya aap ne mujh ko ki 'qaisar' kar diya
Related Ghazal
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin
Tehzeeb Hafi
105 likes
paraai aag pe roti nahin banaoonga main bheeg jaaunga chhatri nahin banaoonga agar KHuda ne banaane ka ikhtiyaar diya alam banaoonga barchi nahin banaoonga fareb de ke tira jism jeet luun lekin main ped kaat ke kashtii nahin banaoonga gali se koi bhi guzre to chaunk uthata hooñ naye makaan men khidki nahin banaoonga main dushmanon se agar jang jeet bhi jaaun to un ki auratein qaai dii nahin banaoonga tumhein pata to chale be-zabaan cheez ka dukh main ab charaaghh ki lau hi nahin banaoonga main ek film banaoonga apne sarwat par aur is men rail ki patri nahin banaoonga
Tehzeeb Hafi
92 likes
zindagi bhar phool hi bhijwaoge ya kisi din KHud bhi milne aaoge paihredaaron se bachoonga kab talak dost tum ek din mujhe marwaoge KHud ko aaiine men kam dekha karo ek din soorj-mukhi ban jaaoge
Tehzeeb Hafi
88 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Qaisar hayat.
Similar Moods
More moods that pair well with Qaisar hayat's ghazal.







