ghazalKuch Alfaaz

shahar ke dukaa'n-daaro kaarobaar-e-ulfat men sood kya ziyaan kya hai tum na jaan paoge dil ke daam kitne hain KHvaab kitne mehnge hain aur naqd-e-jaan kya hai tum na jaan paoge koi kaise milta hai phool kaise khilta hai aankh kaise jhukti hai saans kaise rukti hai kaise rah nikalti hai kaise baat chalti hai shauq ki zabaan kya hai tum na jaan paoge vasl ka sukoon kya hai hijr ka junoon kya hai husn ka fusoon kya hai ishq ka daroon kya hai tum mareez-e-daanaai maslahat ke shaidai raah-e-gum-rahan kya hai tum na jaan paoge zakham kaise phalte hain daagh kaise jalte hain dard kaise hota hai koi kaise rota hai ashk kya hai naale kya dasht kya hai chaale kya aah kya fugaan kya hai tum na jaan paoge na-muraad dil kaise subh-o-shaam karte hain kaise zinda rahte hain aur kaise marte hain tum ko kab nazar aayi gham-zadon ki tanhaaii zeest be-amaan kya hai tum na jaan paoge jaanta hooñ main tum ko zaauq-e-shaayari bhi hai shakhsiyat sajaane men ik ye maahri bhi hai phir bhi harf chunte ho sirf lafz sunte ho un ke darmiyaañ kya hai tum na jaan paoge

Related Ghazal

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar

Anwar Shaoor

95 likes

haath khaali hain tire shahar se jaate jaate jaan hoti to mirii jaan lutate jaate ab to har haath ka patthar ha men pahchaanta hai umr guzri hai tire shahar men aate jaate ab ke mayus hua yaaron ko ruksat kar ke ja rahe the to koi zakham lagaate jaate renagne ki bhi ijaazat nahin ham ko warna ham jidhar jaate naye phool khilaate jaate main to jalte hue seharaaon ka ik patthar tha tum to dariyaa the mirii pyaas bujhaate jaate mujh ko rone ka saleeqa bhi nahin hai shaayad log hanste hain mujhe dekh ke aate jaate ham se pahle bhi musaafir kaii guzre honge kam se kam raah ke patthar to hataate jaate

Rahat Indori

102 likes

kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin

Tehzeeb Hafi

105 likes

More from Javed Akhtar

hamaare dil men ab talkhi nahin hai magar vo baat pahle si nahin hai mujhe mayus bhi karti nahin hai yahii aadat tiri achchhii nahin hai bahut se faaede hain maslahat men magar dil ki to ye marzi nahin hai har ik ki dastaan sunte hain jaise kabhi ham ne mohabbat ki nahin hai hai ik darwaaze bin deewar-e-duniya mafar gham se yahaañ koi nahin hai

Javed Akhtar

3 likes

jism damkata zulf ghaneeri rangeen lab aañkhen jaadu sang-e-marmar udaa baadal surkh shafaq hairaan aahu bhikshu-daani pyaasa paani dariyaa saagar jal gaagar gulshan KHushboo koel kookoo masti daaru main aur tu baambi naagin chaaya aangan ghunghroo chhan-chhan aashaa man aañkhen kaajal parbat baadal vo zulfen aur ye baazu raatein mahki saansen dahki nazrein bahki rut lahki swapn salona prem khilauna phool bichhauna vo pahluu tum se doori ye majboori zakhm-e-kaari bedaari tanhaa raatein sapne qaaten KHud se baatein meri khoo

Javed Akhtar

0 likes

vo dhal raha hai to ye bhi rangat badal rahi hai zameen suraj ki ungliyon se fisal rahi hai jo mujh ko zinda jala rahe hain vo be-KHabar hain ki meri zanjeer dheere dheere pighal rahi hai main qatl to ho gaya tumhaari gali men lekin mire lahu se tumhaari deewaar gal rahi hai na jalne paate the jis ke choolhe bhi har savere suna hai kal raat se vo bastii bhi jal rahi hai main jaanta hooñ ki KHaamushi men hi maslahat hai magar yahii maslahat mire dil ko khal rahi hai kabhi to insaan zindagi ki karega izzat ye ek ummeed aaj bhi dil men pal rahi hai

Javed Akhtar

2 likes

yaqeen ka agar koi bhi silsila nahin raha to shukr keejie ki ab koi gilaa nahin raha na hijr hai na vasl hai ab is ko koi kya kahe ki phool shaakh par to hai magar khila nahin raha khazana tum na paa.e to gareeb jaise ho ga.e palak pe ab koi bhi moti jhilmila nahin raha badal gaii hai zindagi badal ga.e hain log bhi khuloos ka jo tha kabhi vo ab sila nahin raha jo dushmani bakheel se hui to itni KHair hai ki zahar us ke paas hai magar pila nahin raha

Javed Akhtar

3 likes

sookhi tahni tanhaa chidiya feeka chaand aankhoñ ke sehra men ek nami ka chaand us maathe ko choo men kitne din beete jis maathe ki khaatir tha ik teeka chaand pahle tu lagti thii kitnii begaana kitna mubham hota hai pahli ka chaand kam ho kaise in KHushiyon se teraa gham lehron men kab bahta hai nad dii ka chaand aao ab ham is ke bhi tukde kar le dhaaka rawalpin dii aur dilli ka chaand

Javed Akhtar

0 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Javed Akhtar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Javed Akhtar's ghazal.