shahr-e-be-mehr men ab rasm-e-vafa yaad nahin kis ko chaha tha yahan kis ka gila yaad nahin baat karne ko taraste hain masiha mere zakhm to yaad hain zakhmon ki dava yaad nahin ham se puchhe koi duniya ki malamat ka 'azab log kya kahte hain ab bahr-e-khuda yaad nahin ham ne duniya ke havadis ko jiya hai aise ab to marne ki bhi ham ko to ada yaad nahin itne sadme hain ki ab hosh nahin hai apna ham ne kya khoya tha kya ham ko mila yaad nahin log kahte hain ki duniya badi rangin hai miyan ham ko to khaak ke zarron ke siva yaad nahin jis ki khatir main zamane se lada tha tanha aaj dekha to use mera pata yaad nahin ab to har haath men patthar hi nazar aata hai kis ne di thi hamen phulon ki qaba yaad nahin log kahte hain ki 'sahil' tira 'alam kya hai be-khudi aisi hai khud apna pata yaad nahin shahr-e-be-mehr mein ab rasm-e-wafa yaad nahin kis ko chaha tha yahan kis ka gila yaad nahin baat karne ko taraste hain masiha mere zakhm to yaad hain zakhmon ki dawa yaad nahin hum se puchhe koi duniya ki malamat ka 'azab log kya kahte hain ab bahr-e-khuda yaad nahin hum ne duniya ke hawadis ko jiya hai aise ab to marne ki bhi hum ko to ada yaad nahin itne sadme hain ki ab hosh nahin hai apna hum ne kya khoya tha kya hum ko mila yaad nahin log kahte hain ki duniya badi rangin hai miyan hum ko to khak ke zarron ke siwa yaad nahin jis ki khatir main zamane se lada tha tanha aaj dekha to use mera pata yaad nahin ab to har hath mein patthar hi nazar aata hai kis ne di thi hamein phulon ki qaba yaad nahin log kahte hain ki 'sahil' tera 'alam kya hai be-khudi aisi hai khud apna pata yaad nahin
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle
Anand Raj Singh
526 likes
kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa
Javed Akhtar
371 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
ye gham kya dil ki aadat hai nahin to kisi se kuchh shikaayat hai nahin to hai vo ik khwaab-e-be taabeer isko bhula dene ki niyat hai nahin to kisi ke bin kisi ki yaad ke bin ji.e jaane ki himmat hai nahin to kisi soorat bhi dil lagta nahin haan to kuchh din se ye haalaat hai nahin to tujhe jisne kahi ka bhi nahin rakha vo ek jaati si vehshat hai nahin to tere is haal par hai sab ko hairat tujhe bhi is pe hairat hai nahin to ham-aahangi nahin duniya se teri tujhe is par nadaamat hai nahin to vo darveshi jo taj kar aa gaya...tu yah daulat us ki qeemat hai nahin to hua jo kuchh yahii maqsoom tha kya yahii saari hikaayat hai nahin to aziyat-naak ummeedon se tujhko aman paane ki hasrat hai nahin to tu rehta hai khayaal-o-khvaab men gam to is wajah se fursat hai nahin to wahaan waalon se hai itni mohabbat yahaan waalon se nafrat hai nahin to sabab jo is judaai ka banaa hai vo mujhse khubsoorat hai nahin to
Jaun Elia
355 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ateeb Anwar Sahil.
Similar Moods
More moods that pair well with Ateeb Anwar Sahil's ghazal.







