shuur-e-qais ne sahra men khud-kushi kar li kaha gaya ghham-e-laila men khud-kushi kar li ghham-e-hayat ke atish-kade se aaya tha vo jis ne kuud ke dariya men khud-kushi kar li hamare qatl ka shahid to hai har ik lamha magar ye shor hai duniya men khud-kushi kar li mila na jab koi autar mujh ko kal-yug men nae janam ki tamanna men khud-kushi kar li junun talash-e-bayaban men munhamik hi raha khirad ne saghhar-e-sahba men khud-kushi kar li rah-e-hayat na tai ho saki to jamuna ne suna hai duub ke ganga men khud-kushi kar li shuur-e-qais ne sahra mein khud-kushi kar li kaha gaya gham-e-laila mein khud-kushi kar li gham-e-hayat ke aatish-kade se aaya tha wo jis ne kud ke dariya mein khud-kushi kar li hamare qatl ka shahid to hai har ek lamha magar ye shor hai duniya mein khud-kushi kar li mila na jab koi autar mujh ko kal-yug mein nae janam ki tamanna mein khud-kushi kar li junun talash-e-bayaban mein munhamik hi raha khirad ne saghar-e-sahba mein khud-kushi kar li rah-e-hayat na tai ho saki to jamuna ne suna hai dub ke ganga mein khud-kushi kar li
Related Ghazal
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon
Ali Zaryoun
105 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
kiya baadlon men safar zindagi bhar zameen par banaya na ghar zindagi bhar sabhi zindagi ke maze lootte hainna aaya ha men ye hunar zindagi bhar mohabbat rahi chaar din zindagi men raha chaar din ka asar zindagi bhar
Anwar Shaoor
95 likes
kya ghalatfahmi men rah jaane ka sadma kuchh nahin vo mujhe samjha to saka tha ki aisa kuchh nahin ishq se bach kar bhi banda kuchh nahin hota magar ye bhi sach hai ishq men bande ka bachta kuchh nahin jaane kaise raaz seene men li.e baitha hai vo zahr kha leta hai par munh se ugalta kuchh nahin shukr hai ki usne mujhse kah diya ki kuchh to hai main usse kehne hi vaala tha ki achha kuchh nahin
Tehzeeb Hafi
105 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Seen Sheen Alam.
Similar Moods
More moods that pair well with Seen Sheen Alam's ghazal.







