sisakti rut ko mahakta gulaab kar dooñga main is bahaar men sab ka hisaab kar dooñga main intizaar men hooñ tu koi sawaal to kar yaqeen rakh main tujhe la-jawaab kar dooñga hazaar pardo men KHud ko chhupa ke baith magar tujhe kabhi na kabhi be-naqaab kar dooñga mujhe bharosa hai apne lahu ke qatron par main neze neze ko shaakh-e-gulaab kar dooñga mujhe yaqeen ki mehfil ki raushni hooñ main use ye khauf ki mehfil KHaraab kar dooñga mujhe gilaas ke andar hi qaid rakh warna main saare shahar ka paani sharaab kar dooñga mahajanon se kaho thoda intizaar karen sharaab-khaane se aa kar hisaab kar dooñga
Related Ghazal
kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla
Tehzeeb Hafi
435 likes
vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko
Naseer Turabi
244 likes
ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare
Tehzeeb Hafi
292 likes
ab ke ham bichhde to shaayad kabhi KHvaabon men milen jis tarah sukhe hue phool kitaabon men milen Dhoondh ujde hue logon men vafaa ke motiye khazaane tujhe mumkin hai kharaabon men milen gham-e-duniya bhi gham-e-yaar men shaamil kar lo nasha badhta hai sharaaben jo sharaabon men milen tu KHuda hai na mira ishq farishton jaisa dono insaan hain to kyun itne hijaabo men milen aaj ham daar pe kheeche ga.e jin baaton par kya ajab kal vo zamaane ko nisaabon men milen ab na vo main na vo tu hai na vo maazi hai faraaz jaise do shaKHs tamannaa ke saraabo men milen
Ahmad Faraz
130 likes
mere li.e to ishq ka vaa'da hai shayari aadha suroor tum ho to aadha hai shayari rudraaksh haath men hai to seene men om hai krishna hai meraa dil meri radha hai shayari apna to mel jol hi bas aashikon se hai darvesh ka bas ek labaada hai shayari ho aashna koi to dikhaati hai apna rang be ramziyon ke vaaste saada hai shayari tum saamne ho aur meri dastaras men ho is waqt mere dil ka iraada hai shayari bhagwaan ho KHuda ho muhabbat ho ya badan jis samt bhi chalo yahii jaada hai shayari is li.e bhi ishq hi likhta hooñ main ali meraa kisi se aakhri vaa'da hai shayari
Ali Zaryoun
70 likes
More from Rahat Indori
tumhaare naam par main ne har aafat sar pe rakkhi thii nazar sholoon pe rakkhi thii zabaan patthar pe rakkhi thii hamaare KHvaab to shehron ki sadkon par bhatkte the tumhaari yaad thii jo raat bhar bistar pe rakkhi thii main apna azm le kar manzilon ki samt niklaa tha mashqat haath pe rakkhi thii qismat ghar pe rakkhi thii inheen saanson ke chakkar ne ha men vo din dikhaaye the hamaare paanv ki miTTi hamaare sar pe rakkhi thii sehar tak tum jo aa jaate to manzar dekh sakte the diye palkon pe rakhe the shikan bistar pe rakkhi thii
Rahat Indori
7 likes
yuñ sadaa dete hue tere khayal aate hain jaise ka'be ki khulii chat pe bilaal aate hain roz ham ashkon se dho aate hain deewar-e-haram pagadiyaan roz farishton ki uchaal aate hain haath abhii peeche bandhe rahte hain chup rahte hain dekhna ye hai tujhe kitne kamaal aate hain chaand suraj mirii chaukhat pe kaii sadiyon se roz likkhe hue chehre pe sawaal aate hain be-hisi murda-dili raqs sharaaben nag men bas isee raah se qaumon pe zawaal aate hain
Rahat Indori
3 likes
shajar hain ab samar-aasaar mere chale aate hain daavedaar mere muhaajir hain na ab ansaar mere mukhalif hain bahut is baar mere yahaañ ik boond ka muhtaaj hooñ main samundar hain samundar paar mere abhii murdon men roohen phoonk daalen agar chahein to ye beemaar mere hawaaein odh kar soya tha dushman ga.e bekar saare vaar mere main aa kar dushmanon men bas gaya hooñ yahaañ hamdard hain do-chaar mere hañsi men taal dena tha mujhe bhi KHataa kyun ho ga.e sarkaar mere tasavvur men na jaane kaun aaya mahak utthe dar-o-deewar mere tumhaara naam duniya jaanti hai bahut rusva hain ab ashaar mere bhanwar men ruk gaii hai naav meri kinaare rah ga.e is paar mere main KHud apni hifazat kar raha hooñ abhii soye hain pahre-daar mere
Rahat Indori
4 likes
sar par saath aakaash zameen par saath samundar bikhre hain aañkhen chhoti pad jaati hain itne manzar bikhre hain zinda rahna khel nahin hai is aabaad kharaabe men vo bhi akshar toot gaya hai ham bhi akshar bikhre hain us bastii ke logon se jab baatein keen to ye jaana duniya bhar ko jodne waale andar andar bikhre hain in raaton se apna rishta jaane kaisa rishta hai neenden kamron men jaagi hain KHvaab chhato par bikhre hain aangan ke ma'soom shajar ne ek kahaanii likkhi hai itne phal shaakhon pe nahin the jitne patthar bikhre hain saari dharti saare mausam ek hi jaise lagte hain aankhoñ aankhoñ qaid hue the manzar manzar bikhre hain
Rahat Indori
2 likes
chehron ki dhoop aankhoñ ki gehraai le gaya aaina saare shahar ki beenaai le gaya doobe hue jahaaz pe kya tabsira karen ye haadisa to soch ki gehraai le gaya haalaanki be-zabaan tha lekin ajeeb tha jo shaKHs mujh se cheen ke goyaai le gaya main aaj apne ghar se nikalne na paaooñga bas ik qamees thii jo mira bhaai le gaya ghalib tumhaare vaaste ab kuchh nahin raha galiyon ke saare sang to saudaai le gaya
Rahat Indori
19 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Rahat Indori.
Similar Moods
More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.







