ghazalKuch Alfaaz

chehron ki dhoop aankhoñ ki gehraai le gaya aaina saare shahar ki beenaai le gaya doobe hue jahaaz pe kya tabsira karen ye haadisa to soch ki gehraai le gaya haalaanki be-zabaan tha lekin ajeeb tha jo shaKHs mujh se cheen ke goyaai le gaya main aaj apne ghar se nikalne na paaooñga bas ik qamees thii jo mira bhaai le gaya ghalib tumhaare vaaste ab kuchh nahin raha galiyon ke saare sang to saudaai le gaya

Rahat Indori19 Likes

Related Ghazal

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

safar men dhoop to hogii jo chal sako to chalo sabhi hain bheed men tum bhi nikal sako to chalo kisi ke vaaste raahen kahaan badalti hain tum apne aap ko KHud hi badal sako to chalo yahaañ kisi ko koi raasta nahin deta mujhe giraa ke agar tum sambhal sako to chalo kahii nahin koi suraj dhuaan dhuaan hai fazaa KHud apne aap se baahar nikal sako to chalo yahii hai zindagi kuchh KHvaab chand ummeedein inheen khilauno se tum bhi bahl sako to chalo

Nida Fazli

61 likes

vo zamaana guzar gaya kab ka tha jo deewaana mar gaya kab ka dhoondhta tha jo ik nayi duniya laut ke apne ghar gaya kab ka vo jo laaya tha ham ko dariyaa tak paar akelaa utar gaya kab ka us ka jo haal hai vahii jaane apna to zakham bhar gaya kab ka khwaab-dar-khwaab tha jo sheeraza ab kahaan hai bikhar gaya kab ka

Javed Akhtar

62 likes

jis tarah waqt guzarne ke li.e hota hai aadmi shakl pe marne ke li.e hota hai teri aankhoñ se mulaqaat hui tab ye khula doobne vaala ubharne ke li.e hota hai ishq kyun peeche hata baat nibhaane se miyaan husn to khair mukarne ke li.e hota hai aankh hoti hai kisi raah ko takne ke li.e dil kisi paanv pe dharne ke li.e hota hai dil ki dilli ka chunaav hi alag hai sahab jab bhi hota hai ye harne ke li.e hota hai koi bastii ho ujhadne ke li.e bastii hai koi mazma ho bikharna ke li.e hota hai

Ali Zaryoun

61 likes

mafroor parindon ko ye ailaan gaya hai sayyaad nasheeman ka pata jaan gaya hai yaanii jise deemak lagii jaati thii vo main tha ab aake meraa meri taraf dhyaan gaya hai sheeshe men bhale usne meri nakl utaari KHush hooñ ki mujhe koi to pahchaan gaya hai ab baat teri kun pe hai kuchh kar mere maula ik shaKHs tere dar se pareshaan gaya hai ye naam-o-nasab jaake zamaane ko batao darvesh to dastak se hi pahchaan gaya hai

Ahmad Abdullah

50 likes

More from Rahat Indori

shajar hain ab samar-aasaar mere chale aate hain daavedaar mere muhaajir hain na ab ansaar mere mukhalif hain bahut is baar mere yahaañ ik boond ka muhtaaj hooñ main samundar hain samundar paar mere abhii murdon men roohen phoonk daalen agar chahein to ye beemaar mere hawaaein odh kar soya tha dushman ga.e bekar saare vaar mere main aa kar dushmanon men bas gaya hooñ yahaañ hamdard hain do-chaar mere hañsi men taal dena tha mujhe bhi KHataa kyun ho ga.e sarkaar mere tasavvur men na jaane kaun aaya mahak utthe dar-o-deewar mere tumhaara naam duniya jaanti hai bahut rusva hain ab ashaar mere bhanwar men ruk gaii hai naav meri kinaare rah ga.e is paar mere main KHud apni hifazat kar raha hooñ abhii soye hain pahre-daar mere

Rahat Indori

4 likes

yuñ sadaa dete hue tere khayal aate hain jaise ka'be ki khulii chat pe bilaal aate hain roz ham ashkon se dho aate hain deewar-e-haram pagadiyaan roz farishton ki uchaal aate hain haath abhii peeche bandhe rahte hain chup rahte hain dekhna ye hai tujhe kitne kamaal aate hain chaand suraj mirii chaukhat pe kaii sadiyon se roz likkhe hue chehre pe sawaal aate hain be-hisi murda-dili raqs sharaaben nag men bas isee raah se qaumon pe zawaal aate hain

Rahat Indori

3 likes

jab kabhi phoolon ne khushboo ki tijaarat ki hai patti patti ne hawaon se shikaayat ki hai yuñ laga jaise koi itr fazaa men ghul jaa.e jab kisi bacche ne quraan ki tilaavat ki hai jaa-namaazon ki tarah noor men ujlaai sehar raat bhar jaise farishton ne ibadat ki hai sar uthaaye theen bahut surkh hawa men phir bhi ham ne palkon ke charaaghon ki hifazat ki hai mujhe toofaan-e-haawadis se daraane waalo haadson ne to mire haath pe bai't ki hai aaj ik daana-e-gandum ke bhi haqdaar nahin ham ne sadiyon inheen kheton pe hukoomat ki hai ye zaroori tha ki ham dekhte qilon ke jalaal umr bhar ham ne mazaaron ki ziyaarat ki hai

Rahat Indori

5 likes

vo ik ik baat pe rone laga tha samundar aabroo khone laga tha lage rahte the sab darwaaze phir bhi main aañkhen khol kar sone laga tha churaata hooñ ab aañkhen aainon se KHuda ka saamna hone laga tha vo ab aaiine dhota phir raha hai use chehre pe shak hone laga tha mujhe ab dekh kar hansati hai duniya main sab ke saamne rone laga tha

Rahat Indori

0 likes

faisley lamhaat ke naslon pe bhari ho ga.e baap haakim tha magar bete bhikaari ho ga.e deviyaan puhunchiin theen apne baal bikhraaye hue devta mandir se nikle aur pu jaarii ho ga.e raushni ki jang men taariqiyaan paida hui chaand paagal ho gaya taare bhikaari ho ga.e rakh diye jaayenge neze lafz aur honton ke beech zill-e-subhaani ke ahkaamaat jaarii ho ga.e narm-o-naazuk halke-phulke rooi jaise KHvaab the aañsuon men bheegne ke baa'd bhari ho ga.e

Rahat Indori

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Rahat Indori.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Rahat Indori's ghazal.