ghazalKuch Alfaaz

sitare chup hain ki naghhma-sara samundar hai shab-e-khamosh ke dil ki sada samundar hai sukut-e-lab ko sadaon ka pesh-rau samjho ki rud-bar ke aage khula samundar hai vo dekhta hai mire iztirab ko hans kar main tez-rau huun vo thahra hua samundar hai mah-o-nujum dikhate hain aaina us ko falak ke samne chehra-numa samundar hai mita chale hain masafat ka naqsh ahl-e-talab hava saron men hai aur zer-e-pa samundar hai nazar men surat-e-sahil abhi nahin aai mire safar ka har ik marhala samundar hai sitare chup hain ki naghma-sara samundar hai shab-e-khamosh ke dil ki sada samundar hai sukut-e-lab ko sadaon ka pesh-rau samjho ki rud-bar ke aage khula samundar hai wo dekhta hai mere iztirab ko hans kar main tez-rau hun wo thahra hua samundar hai mah-o-nujum dikhate hain aaina us ko falak ke samne chehra-numa samundar hai mita chale hain masafat ka naqsh ahl-e-talab hawa saron mein hai aur zer-e-pa samundar hai nazar mein surat-e-sahil abhi nahin aai mere safar ka har ek marhala samundar hai

Related Ghazal

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge

Zubair Ali Tabish

140 likes

pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira

Fahmi Badayuni

96 likes

tamasha-e-deir-o-haram dekhte hain tujhe har bahaane se ham dekhte hain hamaari taraf ab vo kam dekhte hain vo nazrein nahin jin ko ham dekhte hain zamaane ke kya kya sitam dekhte hain humeen jaante hain jo ham dekhte hain

Dagh Dehlvi

84 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zahid Farani.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zahid Farani's ghazal.