sitam hi karna jafaa hi karna nigaah-e-ulft kabhi na karna tumhein qasam hai hamaare sar ki hamaare haq men kamii na karna hamaari mayyat pe tum jo aanaa to chaar aañsu baha ke j aanaa zaraa rahe paas-e-aabroo bhi kahii hamaari hañsi na karna kahaan ka aanaa kahaan ka j aanaa vo jaante hi nahin ye rasmen vahaañ hai wa'de ki bhi ye soorat kabhi to karna kabhi na karna li.e to chalte hain hazrat-e-dil tumhein bhi us anjuman men lekin hamaare pahluu men baith kar tum humeen se pahlu-tahi na karna nahin hai kuchh qatl un ka aasaan ye sakht-jaan hain bure bala ke qaza ko pahle shareek karna ye kaam apni khushi na karna halaak andaaz-e-wasl karna ki parda rah jaa.e kuchh hamaara gham-e-judai men KHaak kar ke kahii adoo ki khushi na karna mirii to hai baat zahar un ko vo un ke matlab hi ki na kyun ho ki un se jo iltijaa se kehna ghazab hai un ko vahii na karna hua agar shauq aaine se to rukh rahe raasti ki jaanib misaal-e-aariz safaai rakhna ba-rang-e-kaakul kajee na karna vo hi hamaara tareeq-e-ulfat ki dushmanon se bhi mil ke chalna ye ek sheva tira sitamgar ki dost se dosti na karna ham ek rastaa gali ka us ki dikha ke dil ko hue pashemaan ye hazrat-e-khizr ko jata do kisi ki tum rahbari na karna bayaan-e-dard-e-firaq kaisa ki hai vahaañ apni ye haqeeqat jo baat karne to naala karna nahin to vo bhi kabhi na karna madaar hai naaseho tumheen par tamaam ab us ki munsifi ka zaraa to kehna khuda-lagi bhi faqat sukhan-parvari na karna burii hai ai daagh raah-e-ulfat KHuda na le jaa.e aise raaste jo apni tum KHair chahte ho to bhool kar dil-lagi na karna
Related Ghazal
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
sitam dhhaate hue socha karoge hamaare saath tum aisa karoge angoothi to mujhe lautaa rahe ho angoothi ke nishaan ka kya karoge main tumse ab jhagdta bhi nahin hooñ to kya is baat par jhagda karoge meraa daaman tumheen thaa men hue ho meraa daaman tumheen maila karoge batao vaa'da kar ke aaoge nake pichhli baar ke jaisa karoge vo dulhan ban ke ruksat ho gaii hai kahaan tak car ka peecha karoge mujhe bas yuñ hi tumse poochna tha agar main mar gaya to kya karoge
Zubair Ali Tabish
140 likes
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge
Vikram Gaur Vairagi
70 likes
ab mere saath nahin hai samjhe naasamjhaane kii baat nahin hai samjhe naa tum maangoge aur tumhein mil jaayega pyaar hai ye khairaat nahin hai samjhe naa main baadal hooñ jis par chaahoon barsoonga meri koii zaat nahin hai samjhe naa apna khaali haath mujhe mat dikhlaao is men meraa haath nahin hai samjhe naa
Zubair Ali Tabish
66 likes
More from Dagh Dehlvi
khaatir se ya lihaaz se main maan to gaya jhooti qasam se aap ka eimaan to gaya dil le ke muft kahte hain kuchh kaam ka nahin ulti shikaayaten hui ehsaan to gaya dartaa hooñ dekh kar dil-e-be-aarzoo ko main sunsaan ghar ye kyun na ho mehmaan to gaya kya aa.e raahat aayi jo kunj-e-mazaar men vo valvala vo shauq vo armaan to gaya dekha hai but-kade men jo ai shaikh kuchh na pooch eimaan ki to ye hai ki eimaan to gaya ifsha-e-raaz-e-ishq men go zillatein hui lekin use jata to diya jaan to gaya go nama-bar se KHush na hua par hazaar shukr mujh ko vo mere naam se pahchaan to gaya bazm-e-aduu men soorat-e-parwaana dil mira go rashk se jala tire qurbaan to gaya hosh o hawas o taab o tavaan daagh ja chuke ab ham bhi jaane waale hain samaan to gaya
Dagh Dehlvi
1 likes
ranj ki jab guftugoo hone lagii aap se tum tum se tu hone lagii chahiye paigham-bar dono taraf lutf kya jab doo-b-doo hone lagii meri ruswaai ki naubat aa gaii un ki shohrat koo-b-koo hone lagii hai tiri tasveer kitnii be-hijaab har kisi ke roo-b-roo hone lagii gair ke hote bhala ai shaam-e-wasl kyun hamaare roo-b-roo hone lagii na-ummee dii badh gaii hai is qadar aarzoo ki aarzoo hone lagii ab ke mil kar dekhiye kya rang ho phir hamaari justuju hone lagii daagh itraaye hue firte hain aaj shaayad un ki aabroo hone lagii
Dagh Dehlvi
1 likes
baaki jahaan men qais na farhaad rah gaya afsaana aashiqon ka faqat yaad rah gaya ye sakht-jaan to qatl se naashaad rah gaya khanjar chala to baazoo-e-jallaad rah gaya paabandiyo ne ishq ki bekas rakha mujhe main sau asiriyo men bhi azaad rah gaya chashm-e-sanam ne yuñ to bigaade hazaar ghar ik kaaba chand roz ko aabaad rah gaya mahshar men ja-e-shikwa kiya shukr yaar ka jo bhoolna tha mujh ko vahii yaad rah gaya un ki to ban padi ki lagii jaan muft haath teri girah men kya dil-e-naashaad rah gaya pur-noor ho rahega ye zulmat-kada agar dil men buton ka shauq-e-khuda-daad rah gaya yuñ aankh un ki kar ke ishaara palat gaii goya ki lab se ho ke kuchh irshaad rah gaya naaseh ka jee chala tha hamaari tarah magar ulfat ki dekh dekh ke uftaad rah gaya hain tere dil men sab ke thikaane bure bhale main khaanumaan-kharaab hi barbaad rah gaya vo din ga.e ki thii mire seene men kuchh kharaash ab dil kahaan hai dil ka nishaan yaad rah gaya soorat ko teri dekh ke khinchti hai jaan-e-khalk dil apna thaam thaam ke bahzaad rah gaya ai daagh dil hi dil men ghule zabt-e-ishq se afsos shauq-e-naala-o-fariyaad rah gaya
Dagh Dehlvi
0 likes
in aankhoñ ne kya kya tamasha na dekha haqeeqat men jo dekhna tha na dekha tujhe dekh kar vo dui uth gaii hai ki apna bhi saani na dekha na dekha un aankhoñ ke qurbaan jaaun jinhonne hazaaron hijaabo men parwaana dekha na himmat na qismat na dil hai na aañkhenna dhoondhaan paaya na samjha na dekha bahut dard-mandon ko dekha hai tune ye seena ye dil ye kaleja na dekha vo kab dekh saka hai us ki tajalli jis insaan ne apna hi jalwa na dekha bahut shor sunte the is anjuman ka yahaan aa ke jo kuchh suna tha na dekha use dekh kar aur ko phir jo dekhe koi dekhne vaala aisa na dekha gaya kaarwaan chhod kar mujh ko tanhaa zaraa mere aane ka rastaa na dekha tiri yaad hai ya hai teraa tasavvur kabhi daagh ko ham ne tanhaa na dekha
Dagh Dehlvi
0 likes
phire raah se vo yahaañ aate aate ajal mar rahi tu kahaan aate aate na jaana ki duniya se jaata hai koi bahut der ki meherbaan aate aate suna hai ki aata hai sar nama-bar ka kahaan rah gaya armugaan aate aate yaqeen hai ki ho jaa.e aaKHir ko sacchi mire munh men teri zabaan aate aate sunaane ke qaabil jo thii baat un ko vahii rah gaii darmiyaañ aate aate mujhe yaad karne se ye muddaa tha nikal jaa.e dam hichakiyaañ aate aate abhii sin hi kya hai jo bebaakiyaan hon unhen aayengi shokhiyaan aate aate kaleja mire munh ko aayega ik din yoonhi lab par aah-o-fughaan aate aate chale aate hain dil men armaan laakhon makaan bhar gaya mehmaan aate aate nateeja na niklaa thake sab payaami vahaañ jaate jaate yahaañ aate aate tumhaara hi mushtaqa-e-deedaar hogaa gaya jaan se ik jawaan aate aate tiri aankh firte hi kaisa fira hai mirii raah par aasmaañ aate aate pada hai badaa pech phir dil-lagi men tabeeyat ruki hai jahaan aate aate mire aashiyaan ke to the chaar tinke chaman ud gaya aandhiyaan aate aate kisi ne kuchh un ko ubhaara to hotana aate na aate yahaañ aate aate qayamat bhi aati thii hamraah us ke magar rah gaii hum-inaan aate aate banaa hai hamesha ye dil baagh o sehra bahaar aate aate khizaan aate aate nahin khel ai daagh yaaron se kah do ki aati hai urdu zabaan aate aate
Dagh Dehlvi
1 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Dagh Dehlvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Dagh Dehlvi's ghazal.







