ghazalKuch Alfaaz

so lene do apna apna kaam karo chup ho jaao darvazo kuchh vaqt guzaro divaro chup ho jaao kis kashti ki umr hai kitni mallahon se puchhne do tum se bhi puchhenge ik din dariyao chup ho jaao dekh liya na akhir mitti mitti men mil jaati hai khamoshi se apna apna hissa lo chup ho jaao is viran-sara ki malik ek purani khamoshi avazen deti rahti hai mehmano! chup ho jaao aisa lagta hai ham apni manzil par aa pahunche hain duur kahin ye rone ki avaz suno chup ho jaao khud ko sabit karne se bhi badh jaati hai tanhai kaun si girhen khol rahe ho sehr-garo chup ho jaao ped purana ho jaata hai nae parinde aane se baat adhuri hi rahti hai kuchh bhi kaho chup ho jaao so lene do apna apna kaam karo chup ho jao darwazo kuchh waqt guzaro diwaro chup ho jao kis kashti ki umr hai kitni mallahon se puchhne do tum se bhi puchhenge ek din dariyao chup ho jao dekh liya na aakhir mitti mitti mein mil jati hai khamoshi se apna apna hissa lo chup ho jao is viran-sara ki malik ek purani khamoshi aawazen deti rahti hai mehmano! chup ho jao aisa lagta hai hum apni manzil par aa pahunche hain dur kahin ye rone ki aawaz suno chup ho jao khud ko sabit karne se bhi badh jati hai tanhai kaun si girhen khol rahe ho sehr-garo chup ho jao ped purana ho jata hai nae parinde aane se baat adhuri hi rahti hai kuchh bhi kaho chup ho jao

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

aankh ko aaina samjhte ho tum bhi sabki tarah samjhte ho dost ab kyuuñ nahin samjhte tum tum to kahte the na samjhte ho apna gham tumko kaise samjhaaoon sabse haara hua samjhte ho meri duniya ujad gayi is men tum ise haadsa samjhte ho aakhiri raasta to baaki hai aakhiri raasta samjhte ho

Himanshi babra KATIB

76 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

kis tarah hogaa fakeeron ka guzaara soche usse kehna ki vo ik baar dobaara soche kaise mumkin hai use aur koi kaam na ho kaise mumkin hai ki vo sirf hamaara soche tere aflaak pe jaa.e to sitaara chamke mere aflaak pe aaye to sitaara soche toote patwaar ki kashtii ka muqaddar kya hai ye to dariyaa hi bataaye ya kinaara soche aisa mauka ho ki bas ek hi bach saka ho aur us waqt bhi ek shakhs tumhaara soche

Zahid Bashir

40 likes

sar jhukaoge to patthar devta ho jaayega itnaa mat chaaho use vo be-vafa ho jaayega ham bhi dariyaa hain ha men apna hunar maaloom hai jis taraf bhi chal padenge raasta ho jaayega kitnii sachchaai se mujh se zindagi ne kah diya tu nahin meraa to koi doosra ho jaayega main KHuda ka naam le kar pee raha hooñ dosto zahar bhi is men agar hogaa davaa ho jaayega sab usii ke hain hawa KHushboo zameen o aasmaañ main jahaan bhi jaaunga us ko pata ho jaayega

Bashir Badr

43 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Zulfiqar Aadil.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Zulfiqar Aadil's ghazal.