sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jaao bada udaas saman hai qarib aa jaao na tum ko khud pe bharosa na ham ko zom-e-vafa na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jaao rah-e-talab men kisi ko kisi ka dhyan nahin hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jaao jo dasht-e-ishq men bichhde vo umr bhar na mile yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jaao ye andhiyan hain to shahr-e-vafa ki khair nahin zamana khak-fishan hai qarib aa jaao faqih-e-shahr ki majlis nahin ki duur raho ye bazm-e-pir-e-mughhan hai qarib aa jaao 'faraz' duur ke suraj ghhurub samjhe gae ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jaao sukut-e-sham-e-khizan hai qarib aa jao bada udas saman hai qarib aa jao na tum ko khud pe bharosa na hum ko zom-e-wafa na e'tibar-e-jahan hai qarib aa jao rah-e-talab mein kisi ko kisi ka dhyan nahin hujum-e-ham-safaran hai qarib aa jao jo dasht-e-ishq mein bichhde wo umr bhar na mile yahan dhuan hi dhuan hai qarib aa jao ye aandhiyan hain to shahr-e-wafa ki khair nahin zamana khak-fishan hai qarib aa jao faqih-e-shahr ki majlis nahin ki dur raho ye bazm-e-pir-e-mughan hai qarib aa jao 'faraaz' dur ke suraj ghurub samjhe gae ye daur-e-kam-nazaran hai qarib aa jao
Related Ghazal
usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge
Tehzeeb Hafi
465 likes
mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta
Tehzeeb Hafi
456 likes
tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ
Fahmi Badayuni
249 likes
baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin
Rehman Faris
196 likes
zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de
Rahat Indori
190 likes
More from Ahmad Faraz
vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath
Ahmad Faraz
3 likes
kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin
Ahmad Faraz
6 likes
us ka apna hi karishma hai fusoon hai yuñ hai yuñ to kehne ko sabhi kahte hain yuñ hai yuñ hai jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se ek saaya na daroon hai na baroon hai yuñ hai tum ne dekhi hi nahin dast-e-wafa ki tasveer nok-e-har-khaar pe ik qatra-e-khoon hai yuñ hai tum mohabbat men kahaan sood-o-ziyaan le aa.e ishq ka naam khird hai na junoon hai yuñ hai ab tum aa.e ho mirii jaan tamasha karne ab to dariyaa men talaatum na sukoon hai yuñ hai naaseha tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai roz aa jaata hai samjhaata hai yuñ hai yuñ hai shaay'ri taaza zamaanon ki hai men'maar faraaz ye bhi ik silsila-e-kun-fayaakoon hai yuñ hai
Ahmad Faraz
4 likes
phir usii rahguzar par shaayad ham kabhi mil saken magar shaayad jin ke ham muntazir rahe un ko mil ga.e aur hum-safar shaayad jaan-pahchaan se bhi kya hogaa phir bhi ai dost ghaur kar shaayad ajnabbiyyat ki dhundh chhat jaa.e chamak utthe tiri nazar shaayad zindagi bhar lahu rulaayegi yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz phir bhi tu intizaar kar shaayad
Ahmad Faraz
4 likes
qurbaton men bhi judaai ke zamaane maange dil vo be-mehr ki rone ke bahaane maange ham na hote to kisi aur ke charche hote khilqat-e-shehr to kehne ko fasaane maange yahii dil tha ki tarasta tha maraasim ke li.e ab yahii tark-e-taalluq ke bahaane maange apna ye haal ki jee haar chuke loot bhi chuke aur mohabbat vahii andaaz purane maange zindagi ham tire daaghoon se rahe sharminda aur tu hai ki sadaa aaina-khaane maange dil kisi haal pe qaaney hi nahin jaan-e-'faraz mil ga.e tum bhi to kya aur na jaane maange
Ahmad Faraz
2 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Ahmad Faraz.
Similar Moods
More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.







