ghazalKuch Alfaaz

suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr men kuchh din thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-halon se so apne aap ko barbad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so ham bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghhaf so ham bhi moajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baton se phuul jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare bam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghhazal si ankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai shaam ko saae guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so ham bahar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsal hai jabin us ki jo saada dil hain use ban-sanvar ke dekhte hain suna hai jab se hamail hain us ki gardan men mizaj aur hi laal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasavvur se dasht-e-imkan men palang zaviye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phuul apni qabaen katar ke dekhte hain vo sarv-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ik nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-ravan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalve idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tavaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o divar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubalghhe hi sahi agar vo khvab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr men thahren ki kuuch kar jaaen 'faraz' aao sitare safar ke dekhte hain suna hai log use aankh bhar ke dekhte hain so us ke shahr mein kuchh din thahar ke dekhte hain suna hai rabt hai us ko kharab-haalon se so apne aap ko barbaad kar ke dekhte hain suna hai dard ki gahak hai chashm-e-naz us ki so hum bhi us ki gali se guzar ke dekhte hain suna hai us ko bhi hai sher o shairi se shaghaf so hum bhi moajize apne hunar ke dekhte hain suna hai bole to baaton se phul jhadte hain ye baat hai to chalo baat kar ke dekhte hain suna hai raat use chand takta rahta hai sitare baam-e-falak se utar ke dekhte hain suna hai din ko use titliyan satati hain suna hai raat ko jugnu thahar ke dekhte hain suna hai hashr hain us ki ghazal si aankhen suna hai us ko hiran dasht bhar ke dekhte hain suna hai raat se badh kar hain kakulen us ki suna hai sham ko sae guzar ke dekhte hain suna hai us ki siyah-chashmagi qayamat hai so us ko surma-farosh aah bhar ke dekhte hain suna hai us ke labon se gulab jalte hain so hum bahaar pe ilzam dhar ke dekhte hain suna hai aaina timsal hai jabin us ki jo sada dil hain use ban-sanwar ke dekhte hain suna hai jab se hamail hain us ki gardan mein mizaj aur hi lal o guhar ke dekhte hain suna hai chashm-e-tasawwur se dasht-e-imkan mein palang zawiye us ki kamar ke dekhte hain suna hai us ke badan ki tarash aisi hai ki phul apni qabaen katar ke dekhte hain wo sarw-qad hai magar be-gul-e-murad nahin ki us shajar pe shagufe samar ke dekhte hain bas ek nigah se lutta hai qafila dil ka so rah-rawan-e-tamanna bhi dar ke dekhte hain suna hai us ke shabistan se muttasil hai bahisht makin udhar ke bhi jalwe idhar ke dekhte hain ruke to gardishen us ka tawaf karti hain chale to us ko zamane thahar ke dekhte hain kise nasib ki be-pairahan use dekhe kabhi kabhi dar o diwar ghar ke dekhte hain kahaniyan hi sahi sab mubaalghe hi sahi agar wo khwab hai tabir kar ke dekhte hain ab us ke shahr mein thahren ki kuch kar jaen 'faraaz' aao sitare safar ke dekhte hain

Related Ghazal

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

baithe hain chain se kahii j aanaa to hai nahin ham be-gharon ka koi thik aanaa to hai nahin tum bhi ho beete vaqt ke maanind hoo-b-hoo tum ne bhi yaad aanaa hai aanaa to hai nahin ahad-e-wafaa se kis li.e khaif ho meri jaan kar lo ki tum ne ahd nibh aanaa to hai nahin vo jo ha men aziz hai kaisa hai kaun hai kyun poochte ho ham ne bat aanaa to hai nahin duniya ham ahl-e-ishq pe kyun fenkti hai jaal ham ne tire fareb men aanaa to hai nahin vo ishq to karega magar dekh bhaal ke faris vo tere jaisa deewana to hai nahin

Rehman Faris

196 likes

yahii apni kahaanii thii miyaan pahle bahut pahle woh ladki jaañ hamaari thii miyaan pahle bahut pahle vaham mujh...ko ye bhaata hai,अभी meri divaani hai magar meri divaani thii miyaan pahle bahut pahle raqeeb aakar bataate hain yahaañ til hai vahaañ til hai ha men ye jaankaari thii miyaan pahle bahut pahle adab se maang kar maafi bharii mehfil ye kahtaa hooñ vo ladki khaandaani thii miyaan pahle bahut pahle

Anand Raj Singh

526 likes

More from Ahmad Faraz

vahshatein badhti gaiin hijr ke aazaar ke saath ab to ham baat bhi karte nahin gham-khwaar ke saath ham ne ik umr basar ki hai gham-e-yaar ke saath meer do din na ji.e hijr ke aazaar ke saath ab to ham ghar se nikalte hain to rakh dete hain taq par izzat-e-saadaat bhi dastaar ke saath is qadar khauf hai ab shahar ki galiyon men ki log chaap sunte hain to lag jaate hain deewaar ke saath ek to KHvaab li.e firte ho galiyon galiyonus pe takraar bhi karte ho khareedaar ke saath shahar ka shahar hi naaseh ho to kya keejiega warna ham rind to bhir jaate hain do-chaar ke saath ham ko us shahar men ta'aamir ka sauda hai jahaan log men'maar ko chun dete hain deewaar ke saath jo sharf ham ko mila koocha-e-jaanaan se faraaz soo-e-maqtal bhi ga.e hain usii pindaar ke saath

Ahmad Faraz

3 likes

kyun tabeeyat kahii thaharti nahin dosti to udaas karti nahin ham hamesha ke sair-chashm sahi tujh ko dekhen to aankh bharti nahin shab-e-hijraan bhi roz-e-bad ki tarah kat to jaati hai par guzarti nahin ye mohabbat hai sun zamaane sun itni aasaaniyon se marti nahin jis tarah tum guzaarte ho faraaz zindagi us tarah guzarti nahin

Ahmad Faraz

6 likes

us ka apna hi karishma hai fusoon hai yuñ hai yuñ to kehne ko sabhi kahte hain yuñ hai yuñ hai jaise koi dar-e-dil par ho sitaada kab se ek saaya na daroon hai na baroon hai yuñ hai tum ne dekhi hi nahin dast-e-wafa ki tasveer nok-e-har-khaar pe ik qatra-e-khoon hai yuñ hai tum mohabbat men kahaan sood-o-ziyaan le aa.e ishq ka naam khird hai na junoon hai yuñ hai ab tum aa.e ho mirii jaan tamasha karne ab to dariyaa men talaatum na sukoon hai yuñ hai naaseha tujh ko khabar kya ki mohabbat kya hai roz aa jaata hai samjhaata hai yuñ hai yuñ hai shaay'ri taaza zamaanon ki hai men'maar faraaz ye bhi ik silsila-e-kun-fayaakoon hai yuñ hai

Ahmad Faraz

4 likes

phir usii rahguzar par shaayad ham kabhi mil saken magar shaayad jin ke ham muntazir rahe un ko mil ga.e aur hum-safar shaayad jaan-pahchaan se bhi kya hogaa phir bhi ai dost ghaur kar shaayad ajnabbiyyat ki dhundh chhat jaa.e chamak utthe tiri nazar shaayad zindagi bhar lahu rulaayegi yaad-e-yaaraan-e-be-khabar shaayad jo bhi bichhde vo kab mile hain faraaz phir bhi tu intizaar kar shaayad

Ahmad Faraz

4 likes

qurbaton men bhi judaai ke zamaane maange dil vo be-mehr ki rone ke bahaane maange ham na hote to kisi aur ke charche hote khilqat-e-shehr to kehne ko fasaane maange yahii dil tha ki tarasta tha maraasim ke li.e ab yahii tark-e-taalluq ke bahaane maange apna ye haal ki jee haar chuke loot bhi chuke aur mohabbat vahii andaaz purane maange zindagi ham tire daaghoon se rahe sharminda aur tu hai ki sadaa aaina-khaane maange dil kisi haal pe qaaney hi nahin jaan-e-'faraz mil ga.e tum bhi to kya aur na jaane maange

Ahmad Faraz

2 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Ahmad Faraz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Ahmad Faraz's ghazal.