ghazalKuch Alfaaz

taron se mera jaam bharo main nashe men huun ai sakinan-e-khuld suno main nashe men huun kuchh phuul khil rahe hain sar-e-shakh-e-mai-kada tum hi zara ye phuul chuno main nashe men huun thahro abhi to subh ka maara hai zau-fishan dekho mujhe fareb na do main nashe men huun nashsha to maut hai ghham-e-hasti ki dhuup men bikhra ke zulf saath chalo main nashe men huun mela yuun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist ab jaam samne hi rakho main nashe men huun paael chhanak rahi hai nigar-e-khayal ki kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe men huun main dagmaga raha huun bayaban-e-hosh men mere abhi qarib raho main nashe men huun hai sirf ik tabassum-e-rangin bahut mujhe 'saghhar' ba-dosh lala-rukho main nashe men huun taron se mera jam bharo main nashe mein hun ai sakinan-e-khuld suno main nashe mein hun kuchh phul khil rahe hain sar-e-shakh-e-mai-kada tum hi zara ye phul chuno main nashe mein hun thahro abhi to subh ka mara hai zau-fishan dekho mujhe fareb na do main nashe mein hun nashsha to maut hai gham-e-hasti ki dhup mein bikhra ke zulf sath chalo main nashe mein hun mela yun hi rahe ye sar-e-rahguzar-e-zist ab jam samne hi rakho main nashe mein hun pael chhanak rahi hai nigar-e-khayal ki kuchh ehtimam-e-raqs karo main nashe mein hun main dagmaga raha hun bayaban-e-hosh mein mere abhi qarib raho main nashe mein hun hai sirf ek tabassum-e-rangin bahut mujhe 'saghar' ba-dosh lala-rukho main nashe mein hun

Related Ghazal

chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon saare mard ek jaise hain tumne kaise kah daala main bhi to ek mard hoon tumko KHud se behtar maanta hoon maine usse pyaar kiya hai milkiiyat ka daava nahin vo jiske bhi saath hai main us..ko bhi apna maanta hoon chadar ki izzat karta hoon aur parde ko maanta hoon har parda parda nahin hota itnaa main bhi jaanta hoon

Ali Zaryoun

105 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

tumhein bas yah bat aanaa chahta hooñ main tumse kya chhup aanaa chahta hooñ kabhi mujhse bhi koi jhooth bolo main haan men haan mil aanaa chahta hooñ adaakaari bada dukh de rahi hai main sachmuch muskurana chahta hooñ ameeri ishq ki tumko mubarak main bas kh aanaa kam aanaa chahta hooñ main saare shahar ki baisakhiyon ko tere dar par nachana chahta hooñ mujhe tumse bichadna hi padega main tumko yaad aanaa chahta hooñ

Fahmi Badayuni

249 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

zabaan to khol nazar to mila javaab to de main kitnii baar luta hooñ mujhe hisaab to de tere badan ki likhaavat men hai utaar chadhaav main tujhe kaise padhoonga mujhe kitaab to de teraa sawaal hai saaqi ki zindagi kya hai javaab deta hooñ pahle mujhe sharaab to de

Rahat Indori

190 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Saghar Siddiqui.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Saghar Siddiqui's ghazal.