tamanna roz jiine ke nae paighham laati hai hazaron baar tan men jaan aati aur jaati hai tumhen fursat nahin tum dekh bhi sakte nahin mujh ko jo tum duniya se chhutte ho to tum ko niind aati hai main aksar aisi kashti ko yahan hasrat se takta huun ki jo maujon men bahti hai bhanvar men duub jaati hai udhar izhar ki jurat na hona ik musibat hai idhar dil ki khalish tum samne ho jaan khati hai sahar hoti hai aur iman mera taaza hota hai saba us ki sana ke dil-nashin naghhme sunati hai 'suhail' aisi bala ki sadgi hai husn valon men mohabbat karne valon ko jo divana banati hai tamanna roz jine ke nae paigham lati hai hazaron bar tan mein jaan aati aur jati hai tumhein fursat nahin tum dekh bhi sakte nahin mujh ko jo tum duniya se chhutte ho to tum ko nind aati hai main aksar aisi kashti ko yahan hasrat se takta hun ki jo maujon mein bahti hai bhanwar mein dub jati hai udhar izhaar ki jurat na hona ek musibat hai idhar dil ki khalish tum samne ho jaan khati hai sahar hoti hai aur iman mera taza hota hai saba us ki sana ke dil-nashin naghme sunati hai 'suhail' aisi bala ki sadgi hai husn walon mein mohabbat karne walon ko jo diwana banati hai
Related Ghazal
zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii
Ali Zaryoun
102 likes
kisi libaas ki khushboo jab ud ke aati hai tere badan ki judaai bahut sataati hai tere gulaab tarsate hain teri khushboo ko teri safed chameli tujhe bulaati hai tere baghair mujhe chain kaise padta hain mere bagair tujhe neend kaise aati hai
Jaun Elia
113 likes
kya kahega kabhi milne bhi agar aayega vo ab wafadari ki qasmen to nahin khayega vo ham samjhte the ki ham us..ko bhula sakte hain vo samajhta tha ha men bhool nahin paayega vo k itnaa socha tha par itnaa to nahin socha tha yaad ban jaayega vo khwaab nazar aayega vo sab ke hote hue ik roz vo tanhaa hogaa phir vo dhoondhega ha men aur nahin paayega vo ittifaqan jo kabhi saamne aaya ajmal ab vo tanhaa to na hogaa jo thehar jaayega vo
Ajmal Siraj
50 likes
tamanna phir machal jaa.e agar tum milne aa jaao ye mausam hi badal jaa.e agar tum milne aa jaao mujhe gham hai ki maine zindagi men kuchh nahin paaya ye gham dil se nikal jaa.e agar tum milne aa jaao nahin milte ho mujhse tum to sab hamdard hain mere zamaana mujhse jal jaa.e agar tum milne aa jaao ye duniya bhar ke jhagde ghar ke qisse kaam ki baatein bala har ek tal jaa.e agar tum milne aa jaao
Javed Akhtar
48 likes
naya ik rishta paida kyun karen ham bichadna hai to jhagda kyun karen ham KHamoshii se ada ho rasm-e-doori koi hangaama barpa kyun karen ham ye kaafi hai ki ham dushman nahin hain wafa-daari ka daava kyun karen ham vafaa ikhlaas qurbaani mohabbat ab in lafzon ka peecha kyun karen ham hamaari hi tamannaa kyun karo tum tumhaari hi tamannaa kyun karen ham kiya tha ahd jab lamhon men ham ne to saari umr ifa kyun karen ham nahin duniya ko jab parwa hamaari to phir duniya ki parwa kyun karen ham ye bastii hai musalmaanon ki bastii yahaañ kaar-e-masiha kyun karen ham
Jaun Elia
67 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Suhail Kakorvi.
Similar Moods
More moods that pair well with Suhail Kakorvi's ghazal.







