ghazalKuch Alfaaz

taskin-e-dil-e-mahzun na hui vo sai-e-karam farma bhi gae is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae tadpa bhi gae ham arz-e-vafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake yaan ham ne zaban hi kholi thi vaan aankh jhuki sharma bhi gae ashuftagi-e-vahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam ab aap kahen kuchh ya na kahen ham raz-e-tabassum pa bhi gae rudad-e-ghham-e-ulfat un se ham kya kahte kyunkar kahte ik harf na nikla honton se aur aankh men aansu aa bhi gae arbab-e-junun par furqat men ab kya kahiye kya kya guzri aae the savad-e-ulfat men kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae ye rang-e-bahar-e-alam hai kyuun fikr hai tujh ko ai saaqi mahfil to tiri suuni na hui kuchh uth bhi gae kuchh aa bhi gae us mahfil-e-kaif-o-masti men us anjuman-e-irfani men sab jam-ba-kaf baithe hi rahe ham pi bhi gae chhalka bhi gae taskin-e-dil-e-mahzun na hui wo sai-e-karam farma bhi gae is sai-e-karam ko kya kahiye bahla bhi gae tadpa bhi gae hum arz-e-wafa bhi kar na sake kuchh kah na sake kuchh sun na sake yan hum ne zaban hi kholi thi wan aankh jhuki sharma bhi gae aashuftagi-e-wahshat ki qasam hairat ki qasam hasrat ki qasam ab aap kahen kuchh ya na kahen hum raaz-e-tabassum pa bhi gae rudad-e-gham-e-ulfat un se hum kya kahte kyunkar kahte ek harf na nikla honton se aur aankh mein aansu aa bhi gae arbab-e-junun par furqat mein ab kya kahiye kya kya guzri aae the sawad-e-ulfat mein kuchh kho bhi gae kuchh pa bhi gae ye rang-e-bahaar-e-alam hai kyun fikr hai tujh ko ai saqi mahfil to teri suni na hui kuchh uth bhi gae kuchh aa bhi gae us mahfil-e-kaif-o-masti mein us anjuman-e-irfani mein sab jam-ba-kaf baithe hi rahe hum pi bhi gae chhalka bhi gae

Related Ghazal

usii jagah par jahaan kaii raaste milenge palat ke aa.e to sabse pahle tujhe milenge agar kabhi tere naam par jang ho gaii to ham aise buzdil bhi pahli saf men khade milenge tujhe ye sadken mere tavassut se jaanti hain tujhe hamesha ye sab ishaare khule milenge

Tehzeeb Hafi

465 likes

zane haseen thii aur phool chun kar laati thii main she'r kahtaa tha vo dastaan sunaati thii arab lahu tha ragon men badan sunhara tha vo muskuraati nahin thii dii.e jalaati thii ali se door raho log usse kahte the vo meraa sach hai bahut cheekh kar bataati thii ali ye log tumhein jaante nahin hain abhii gale lagaakar meraa hausla badhaati thii ye phool dekh rahe ho ye uskaa lahjaa tha ye jheel dekh rahe ho yahaañ vo aati thii main uske baad k abhii theek se nahin jaaga vo mujh...ko khwaab nahin neend se jagati thii use kisi se mohabbat thii aur vo main nahin tha ye baat mujhse zyaada use roolaati thii main kuchh bataa nahin saka vo meri kya thii ali ki us..ko dekhkar bas apni yaad aati thii

Ali Zaryoun

102 likes

kyun darein zindagi men kya hogaa kuchh na hogaa to tajurba hogaa hansati aankhoñ men jhaank kar dekho koi aañsu kahii chhupa hogaa in dinon na-umeed sa hooñ main shaayad usne bhi ye suna hogaa dekhkar tumko sochta hooñ main kya kisi ne tumhein chhua hogaa

Javed Akhtar

371 likes

mere bas men nahin varna qudrat ka likha hua kaatta tere hisse men aa.e bure din koi doosra kaatta laariyon se zyaada bahaav tha tere har ik lafz men main ishaara nahin kaat saka teri baat kya kaatta maine bhi zindagi aur shab e hijr kaatee hai sabki tarah vaise behtar to ye tha ke main kam se kam kuchh naya kaatta tere hote hue mombatti bujhaai kisi aur ne kya khushi rah gayi thii janmdin ki main cake kya kaatta koi bhi to nahin jo mere bhookhe rahne pe naaraz ho jail men teri tasveer hoti to hanskar saza kaatta

Tehzeeb Hafi

456 likes

chaand sitaare phool parinde shaam savera ek taraf saari duniya uskaa charba uskaa chehra ek taraf vo ladhkar bhi so jaa.e to uskaa maatha choomun main usse muhabbat ek taraf hai usse jhagda ek taraf jis shay par vo ungli rakh de us..ko vo dilwaani hai uski khushiyaan sab se awwal sasta mehnga ek taraf zaKHmon par marham lagwao lekin uske haathon se chaarasaazi ek taraf hai uskaa choona ek taraf saari duniya jo bhi bole sab kuchh shor sharaaba hai sab ka kehna ek taraf hai uskaa kehna ek taraf usne saari duniya maangi maine us..ko maanga hai uske sapne ek taraf hai meraa sapna ek taraf

Varun Anand

406 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Asrarul Haq Majaz.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Asrarul Haq Majaz's ghazal.