ghazalKuch Alfaaz

tasvir-e-ru-e-yar dikhana basant ka atkheliyon se dil ko lubhana basant ka har samt sabza-zar bichhana basant ka phulon men rang-o-bu ko lutana basant ka rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka har har kali men rang dikhana basant ka paighham-e-lutf-e-khas sunana basant ka dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka qudrat ki barkaten hain khazana basant ka kya khuub kya ajiib zamana basant ka dil ko bahut aziiz hai aana basant ka 'rahbar' ki zindagi men samana basant ka taswir-e-ru-e-yar dikhana basant ka atkheliyon se dil ko lubhana basant ka har samt sabza-zar bichhana basant ka phulon mein rang-o-bu ko lutana basant ka rashk-e-jinan chaman ko banana basant ka har har kali mein rang dikhana basant ka paigham-e-lutf-e-khas sunana basant ka dariya-e-faiz-e-am bahana basant ka qudrat ki barkaten hain khazana basant ka kya khub kya ajib zamana basant ka dil ko bahut aziz hai aana basant ka 'rahbar' ki zindagi mein samana basant ka

Related Ghazal

vo be-vafa hai to kya mat kaho bura us ko ki jo hua so hua khush rakhe khudaa us ko nazar na aa.e to us kii talash men rahna kahiiñ mile to palat kar na dekhna us ko vo saada-khuu tha zamaane ke kham samajhta kya hawa ke saath chala le udii hawa us ko vo apne baare men kitna hai khush-gumaañ dekho jab us ko main bhi na dekhooñ to dekhna us ko abhii se jaana bhi kya us kii kam-khayaalii par abhii to aur bahut hogaa sochna us ko use ye dhun ki mujhe kam se kam udaas rakhe mirii du'aa ki khudaa de ye hausla us ko panaah dhoondh rahi hai shab-e-giraftaa-dil koii batao mire ghar ka raasta us ko ghazal men tazkira us ka na kar naseer ki ab bhula chuka vo tujhe tu bhi bhool ja us ko

Naseer Turabi

244 likes

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

KHaamosh lab hain jhuki hain palken dilon men ulfat nayi nayi hai abhii taqalluf hai guftagoo men abhii mohabbat nayi nayi hai abhii na aayengi neend tumko abhii na hamko sukoon milega abhii to dhadakega dil ziyaada abhii muhabbat nayi nayi hai bahaar ka aaj pehla din hai chalo chaman men tahal ke aayen fazaa men KHushboo nayi nayi hai gulon men rangat nayi nayi hai jo khandaani raeis hain vo mizaaj rakhte hain narm apna tumhaara lahjaa bataa raha hai tumhaari daulat nayi nayi hai zaraa sa qudrat ne kya nawaaza ke aake baithe ho pahli saf men abhii kyuuñ udne lage hawa men abhii to shohrat nayi nayi hai bamon ki barsaat ho rahi hai purane jaanbaaz so rahe hain ghulaam duniya ko kar raha hai vo jiski taqat nayi nayi hai

Shabeena Adeeb

232 likes

chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka

Waseem Barelvi

103 likes

maine jo kuchh bhi socha hua hai main vo vaqt aane pe kar jaaunga tum mujhe zahar lagte ho aur main kisi din tumhein pee ke mar jaaunga tu to beenaai hai meri tere alaava mujhe kuchh bhi dikhta nahin maine tujhko agar tere ghar pe utaara to main kaise ghar jaaunga chahta hooñ tumhein aur bahut chahta hooñ tumhein KHud bhi maaloom hai haan agar mujhse poocha kisi ne to main seedha munh par mukar jaaunga tere dil se tere shahar se tere ghar se teri aankh se tere dar se teri galiyon se tere watan se nikala hua hooñ kidhar jaaunga

Tehzeeb Hafi

241 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Jitendra Mohan Sinha Rahbar.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Jitendra Mohan Sinha Rahbar's ghazal.