ghazalKuch Alfaaz

tere li.e chale the ham tere li.e thehar ga.e tu ne kaha to jee uthe tu ne kaha to mar ga.e kat hi gaii judaai bhi kab ye hua ki mar ga.e tere bhi din guzar ga.e mere bhi din guzar ga.e tu bhi kuchh aur aur hai ham bhi kuchh aur aur hain jaane vo tu kidhar gaya jaane vo ham kidhar ga.e raahon men hi mile the ham raahen naseeb ban gaiin vo bhi na apne ghar gaya ham bhi na apne ghar ga.e vaqt hi judaai ka itnaa taveel ho gaya dil men tire visaal ke jitne the zaKHm bhar ga.e hota raha muqaabla paani ka aur pyaas ka sehra umad umad pade dariyaa bifar bifar ga.e vo bhi ghubaar-e-khwaab tha ham bhi ghubaar-e-khwaab the vo bhi kahiin bikhar gaya ham bhi kahiin bikhar ga.e koii kanaar-e-aabjoo baitha hua hai sar-nigoon kashtii kidhar chali gaii jaane kidhar bhanwar ga.e aaj bhi intizaar ka vaqt hunoot ho gaya aisa laga ki hashr tak saare hi pal thehar ga.e barish-e-wasl vo hui saara ghubaar dhul gaya vo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar ga.e aab-e-muheet-e-ishq ka bahar ajeeb bahar hai taire to ghark ho ga.e doobe to paar kar ga.e itne qareeb ho ga.e apne raqeeb ho ga.e vo bhi adeem dar gaya ham bhi adeem dar ga.e us ke sulook par adeem apni hayaat-o-maut hai vo jo mila to jee uthe vo na mila to mar ga.e

Related Ghazal

kaise usne ye sab kuchh mujhse chhupkar badla chehra badla rastaa badla baad men ghar badla main uske baare men ye kahtaa tha logon se meraa naam badal dena vo shaKHs agar badla vo bhi KHush tha usne dil dekar dil maanga hai main bhi KHush hooñ maine patthar se patthar badla maine kaha kya meri khaatir KHud ko badloge aur phir usne nazren badlein aur number badla

Tehzeeb Hafi

435 likes

usoolon pe jahaan aanch aa.e takr aanaa zaroori hai jo zinda hon to phir zinda nazar aanaa zaroori hai nayi umron ki khudmukhtaariyon ko kaun samjh aa.e kahaan se bach ke chalna hai kahaan j aanaa zaroori hai thake haare parinde jab basere ke liye lautain saleeqamand shaakhon ka lachak j aanaa zaroori hai bahut bebaak aankhoñ men talluq tik nahin paata muhabbat men kashish rakhne ko sharm aanaa zaroori hai saleeqa hi nahin shaayad use mehsoos karne ka jo kahtaa hai KHuda hai to nazar aanaa zaroori hai mere honthon pe apni pyaas rakh do aur phir socho ki iske baad bhi duniya men kuchh p aanaa zaroori hai

Waseem Barelvi

107 likes

kabhi milenge to ye karz bhi utaarenge tumhaare chehre ko paharon talak nihaarenge ye kya sitam ki khilaadi badal diya usne ham is umeed pe baithe the ham hi haarenge hamaare baad tere ishq men naye ladke badan to choomenge zulfen nahin sanvaarenge

Vikram Gaur Vairagi

70 likes

ye maine kab kaha ki mere haq men faisla kare agar vo mujh se KHush nahin hai to mujhe juda kare main uske saath jis tarah guzaarta hooñ zindagi use to chahiye ki meraa shukriya ada kare meri dua hai aur ik tarah se baddua bhi hai KHuda tumhein tumhaare jaisi betiyaan ata kare banaa chuka hooñ main mohabbaton ke dard ki davaa agar kisi ko chahiye to mujhse raabta kare

Tehzeeb Hafi

292 likes

mujhe udaas kar ga.e ho KHush raho mire mizaaj par ga.e ho KHush raho mire li.e na ruk sake to kya hua jahaan kahiin thehar ga.e ho KHush raho khushi hui hai aaj tum ko dekh kar bahut nikhar sanwar ga.e ho KHush raho udaas ho kisi ki be-vafaaii par vafaa kahiin to kar ga.e ho KHush raho gali men aur log bhi the aashna ha men salaam kar ga.e ho KHush raho tumhein to meri dosti pe naaz tha isee se ab mukar ga.e ho KHush raho kisi ki zindagi bano ki bandagi mire li.e to mar ga.e ho KHush raho

Fazil Jamili

73 likes

Similar Writers

View All ›

Our suggestions based on Adeem Hashmi.

Similar Moods

View All ›

More moods that pair well with Adeem Hashmi's ghazal.