kisi jhooti vafaa se dil ko bahaana nahin aata mujhe ghar kaaghazi phoolon se mehkaana nahin aata main jo kuchh hooñ vahii kuchh hooñ jo zaahir hai vo baatin hai mujhe jhoote dar-o-deewar chamkaana nahin aata main dariyaa hooñ magar bahta hooñ main kohsaar kii jaanib mujhe duniya kii pasti men utar jaana nahin aata zar-o-maal-o-javahar le bhi aur thukra bhi saktaa hooñ koii dil pesh karta ho to thukraana nahin aata parinda jaanib-e-dana hamesha ud ke aata hai parinde kii taraf ud kar kabhi daana nahin aata agar sehra men hain to aap KHud aa.e hain sehra men kisi ke ghar to chal kar koii veeraana nahin aata hua hai jo sadaa us ko naseebon ka likha samjha adeem apne ki.e par mujh ko pachtana nahin aata
Related Ghazal
aaiine aankh men chubhte the bistar se badan katraata tha ek yaad basar karti thii mujhe main saans nahin le paata tha ek shakhs ke haath men tha sab kuchh meraa khilna bhi murjhaana bhi rota tha to raat ujad jaati hansata tha to din ban jaata tha main rab se raabte men rehta mumkin hai ki us se raabta ho mujhe haath uthaana padte the tab jaakar vo phone uthaata tha mujhe aaj bhi yaad hai bachpan men kabhi us par nazar agar padti mere baste se phool barsate the meri takhti pe dil ban jaata tha ham ek zindaan men jinda the ham ek janjeer men badhe hue ek doosre ko dekh kar ham kabhi hansate the to rona aata tha vo jism nazarandaaz nahin ho paata tha in aankhoñ se mujrim thehrata tha apna kehne ko to ghar thehrata tha
Tehzeeb Hafi
129 likes
pooch lete vo bas mizaaj mira kitna aasaan tha ilaaj mira chaara-gar ki nazar bataati hai haal achha nahin hai aaj mira main to rehta hooñ dasht men masroof qais karta hai kaam-kaaj mira koi kaasa madad ko bhej allah mere bas men nahin hai taaj mira main mohabbat ki baadshaahat hooñ mujh pe chaltaa nahin hai raaj mira
Fahmi Badayuni
96 likes
ye kis tarah ka ta'alluq hai aapka mere saath mujhe hi chhod ke jaane ka mashwara mere saath yahii kahii ha men raston ne baddua dii thii magar main bhool gaya aur kaun tha mere saath vo jhaankta nahin khidki se din nikalta hai tujhe yaqeen nahin aa raha to aa mere saath
Tehzeeb Hafi
92 likes
chala hai silsila kaisa ye raaton ko manaane ka tumhein haq de diya kisne diyon ke dil dukhaane ka iraada chhodiye apni hadon se door jaane ka zamaana hai zamaane ki nigaahon men na aane ka kahaan ki dosti kin doston ki baat karte ho miyaan dushman nahin milta koi ab to thikaane ka nigaahon men koi bhi doosra chehra nahin aaya bharosa hi kuchh aisa tha tumhaare laut aane ka ye main hi tha bacha ke KHud ko le aaya kinaare tak samandar ne bahut mauqa' diya tha doob jaane ka
Waseem Barelvi
103 likes
shor karunga aur na kuchh bhi boloonunga khaamoshi se apna rona ro loonga saari umr isee KHvaahish men guzri hai dastak hogii aur darwaaza khooloonunga tanhaaii men KHud se baatein karne hain mere munh men jo aayega boloonunga raat bahut hai tum chaaho to so jaao meraa kya hai main din men bhi so loonga tum ko dil ki baat bataani hai lekin aañkhen band karo to mutthi khooloonunga
Tehzeeb Hafi
84 likes
Similar Writers
Our suggestions based on Adeem Hashmi.
Similar Moods
More moods that pair well with Adeem Hashmi's ghazal.







